Deen par qurbaan kar ke zindagi besheer ne.
Bakhsh di hai teergi ko raushani besheer ne
Jang ke maydaan me aakar ghazangar ki tarah.
Ki tabassum se wigha misle jari besheer ne
Bhaagna maydaan se yeh buzdiloN ka kaam hai.
Ran me yu taarerkh ki tafseer ki besheer ne
Hurmala ke teer se sheh ko bachaane ke liye.
Rakh diya apna guloo e aahni besheer ne
Waqt ka imraan ban kar deene haq ke waaste.
Ki nahi baatil se hargiz dosti besheer ne.
Dasht me daure khizaN ke khaar sab murjha gaye.
ik hans se hi khiladi har kali besheer ne
Dhoop me jalti jameeN par jab litaaya shaah ne.
Bakhsh di rege tapaN ko tab nami besheer ne
Kamsini me fat'h paake lashkare aghyaar par.
Lashkare shabbeer se ki hamsari besheer ne.
Mad'h khwaaN *"Naushad"* mai besheer ka tha is liye
Kar diya mijh ko jahannam se bari besheer ne.
Kalam by Naushad Bijani
+44 704 852 187
रन मे आके यूं दिखाई दिलबरी बेशीर ने
मौत की आंखो में आंखे डाल दी बेशीर ने
Ran me aake yu, n dikhai dilbari besheer ne
Mot ki aankho, n me aankhe, n daal di besheer ne
अब ना होगा तीर पा नाज़ा कभी भी हुर्मला
मुस्कुरा कर तीर को जो मौत दी बेशीर ने
Ab na hoga teer pa naza kabhi bhi hurmla
Muskura kar teer ko jo mot di besheer ne
कट रही थी शह रगे इस्लाम जब आशुर में
खुं से दी इस्लाम को तब ज़िंदगी बेशीर ने
Kat rahi thee sheh rage islaam jab aashur me
Khu,n se di islaam ko tab zindagi besheer ne
ज़ुल्म ने सज्जाद को पहनाई बेड़ी है मगर
ज़ुल्म के हाथो में डाली हथकड़ी बेशीर ने
Zulm ne sajjad ko pehnaai bedi hai magar
Zulam k hatho me daali hathkadi besheer ne
अब सवाले बैयते फासिक ना उठेठेगा कभी
साफ यूं बैयत की कर दी गन्दगी बेशीर ने
Ab sawaale baiyate fasik na uththega kabhi
Saaf yu,n baiyat ki kar di gandagi besheer ne
क्यों ना मातम हो बपा लश्कर में तेरे ऐ यज़ीद
छीन ली लश्कर से जब उसकी हसी बेशीर ने
Kyo,n na matam ho bapaa lashkar me tere ae yazeed
Cheen li lashkar se jab uski hasi besheer ne
आन के मक़तल मे हमला इस तरह से कर दिया
हुर्मला की हस के लेली जान ही बेशीर ने
Aan k maqtal me hamla is trah se kar diya
Hurmla ki has k le li jaan hi besheer ne
यूं तो कमसिन था मगर पर कर्बला के बाद में
नेजे पा अकबर से की है हमसरी बेशीर ने
Yu,n to kamsin tha magar par karbala k baad me
Neze pa akbar se ki hai humsari besheer ne
थी कहां जावेद आसां मिदहते बेशीर भी
पर अता तुझको है की ये शायरी बेशीर ने
Thee kaha,n javed aasaa,n midhate besheer bhi
Par ataa tujhko hai ki ye shayari besheer ne
Kalam by Syed Javed Akhtar