( By Saiyad javed ali zaidi, Jafar Ali Dehradun.
in )
आज से दीं पा कफालत है अबुतालिब की
या ये कह दु के नबुवत है अबु तालिब की
Aaj se dee,n pa kafalat hai abu talib ki
Ya ye keh du k nabuvat hai abu talib ki
साथ ना छोड़ना अहमद का कभी ऐ हैदर
सख़्त हैदर को हिदायत है अबु तालिब की
Saath na chodna aehmad ka kabhi ae haider
Sakht haider ko hidayat hai abu talib ki
मिस्ले शब्बीर शरीयत को बचाने के लिये
दीन को आज ज़रूरत है अबु तालिब की
Misle shabbeer shariyat ko bachaane k liye
Deen ko aaj zarurat hai abu talib ki
रोज़ इमामत के नबुवत के बदलने बिस्तर
रोजो शब ये ही इबादत है अबु तालिब की
Roz imamat ke nabuvat ke badlne bistar
Rozo shab ye hi ibadat hai abu talib ki
बोल सकता नही तु कुछ भी यहाँ पर ऐ जेहेल
तुझको बिल्कुल ना इजाज़त है अबु तालिब की
Bol sakta nahi tu kuch bhi yaha,n par ae jehel
Tujhko bilkul na ijaazat hai abu talib ki
किस की हिम्मत है नज़र भर के जो दीं को देखे
जब तलक दीं को हिमायत है अबु तालिब की
Kis ki himmat hai nazar bhar k jo dee,n ko dekhe
Jab talak dee,n. ko himayat hai abu talib ki
जिसके सदके मे बना सारा का सारा आलम
उस मोहम्मद पा इनायत है अबु तालिब की
Jiske sad we Mai bna sara ka sara aalam
Us mohammad pa inaayat hai abu talib ki
जिसकी चोखट पा करे आके नबी सारे सलाम
करता तो वो भी इताअत है अबु तालिब की
Jiski chokhat pa kre aake nabi saare salaam
Karta to vo bhi itaaat hai abu talib ki
बदला लेने को हुसैन इब्ने अली का या रब
शक्ले मेहदी मे ज़रूरत है अबु तालिब की
Badla lene ko Hussain ibne Ali ka ya run
Shkle mehdi me zarurat hai abu talib ki
इसलिए मौत से डरता नही है शिया मौला
उसको मिलती है जो हिम्मत है अबु तालिब कीl
Isliye. mot se darta nahi shiya mola
Usko milti hai jo himmat hai abu talib ki
मुझको जावेद नही डर है किसी फतवे का
साथ जो मेरे रफ़ाक़त है अबु तालिब की
Mujhko jaaved nahi dar hai kisi fatve ka
Saath jo mere rafaqat hai abu talib ki
कहना जावेद ना मददाहे नबी तुम उनको
जिनके दिल मे भी अदावत है अबु तालिब की
Kehna javed na maddahe nabi tum unko
Jinke dil mai bhi adaavat hai abu talib ki
Saiyad javed ali zaidi.
Dosto'n Aaj viladat hai Abutalib ki
Chhai Dil me bhi masarrat hai Abutalib ki
Ghar me inke hi to islaam phala phoola hai
Haa'n nabuwat ko hifazat hai Abutalib ki
Aap tableegh kare'n haq ki Nabi duniya me
Aaj se Dee'n pe kafalat hai Abutalib ki
Kaise kehte hain musalmaan ke kaafir tha wo
Jabke makhrooj mashiyat hai Abutalib ki
Koi sultane jaha'n koi hai kulle imaa'n
Aesi aagosh ki Azmat hai Abutalib ki
Nafs bechha tha jo Haider ne shabe Hijrat me
Wo bhi khaliq se tijarat hai Abutalib ki
Karbala Saamra Makka Ya Madina Mashhad
Door tak phaili Riyasat hai Abutalib ki
Tune paaya hai jo midhat ka sharaf Ae Jafar
Ye to bemisl inayat hai Abutalib ki
Jafar Ali Dehradun