Kaha rokar sakeena ne chalo ab ghar phuphi amma

( By Naushad Bijani

in )
  • Name:
  • Section:
  • Number of pages:
  • Date Added:
    09/09/2021
Kaha rokar sakeena ne chalo ab ghar phuphi amma

Naushad Bijani
Kaha rokar sakeena ne chalo ab ghar phuphi amma.
Watan me muntazir hogi meri khwahar phuphi amma.
 
Rida karbobala me chheenli hai meri zaalim ne.
Nahi achha watan jaau me nange sar phuphi amma.
 
Watan jaane se pahele aarzu hai aap se meri
Kaho bhaai se dilvade mujhe chaadar phuphi amma.
 
Nahi pehnungi mai ab baaliyaN in zakhmi kaanN me.
Sitamgar chheen lega kheench ke gauhar phuphi amma.
 
Tamache har qadam par mujh ko maare hai sitamgar ne.
BayaN sab se karungi mai watan jakar phuphi amma.
 
Kahenge aap kya jis waqt ro ke puchhegi sughra
KahaN hai mera shashmaha ali assghar phuphi amma.
 
Kaha bibi ne fir ro ro ke mujhko neend aati hai.
Bahut chubhta hai mujhko khaak ka bistar phuphi amma.
 
Uthi jab neend se to ro ke yeh kehne lagi bibi.
Ke mai to soi thi baaba ke seene par phuphi amma.
 
Mujhe aayenge lene ke liye jaldi mere baaba.
Kaha baaba ne mujh se khwab me aakar phuphi amma.
 
Jab aaya tashat zindaN me hata jab tasht se parda.
Kaha aabid ne  ke yeh baaba hai sar phuphi amma.
 
Kaha baaba ke sar ko god me lekar Sakeena ne.
Gale par kisne maara baaba ko khanjar phuphi amma.
 
Sitamgar ne sitam dhaaye hai mujh par aaj tak jitne.
Karungi mai bayaN baaba se ro ro kar phuphi amma.
 
Bahut din baad maine baaba ke chehre ko dekha hai.
Juda karna na mujhse baaba ka ab sar phuphi amma.
 
Liye sar god me baaba ka bacchi ho gayi khaamosh.
Kaha sajjad ne soyi hai woh thak kar phuphi amma.
 
Sakina ka hilaake shaana roe aabide muztar.
Kaha fir, is jahaN se chal basi khwahar phuphi amma.
 
Inhe tum ghusl dena narmi se aahista aahista.
Ke in ke jism me hai ja-baja nashtar phuphi amma.
 
Watan jis dam chala yeh kaafela zindaan se naushad.
Lahad se alweda kehti rahi ro kar phuphi amma.
Naushad Bijani

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Kaha rokar sakeena ne chalo ab ghar phuphi amma ( By Naushad Bijani in )

09/09/2021

shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP