Naushad Bijani
Jo aale mohammad se anjaan hai.
Kaha kisne ke woh musalmaan hai.
Raqam qaule fizza hai taareekh me.
Meri khuld zehra ka daalaan hai
Khuda hai madadgaar imraan ka.
Madgaar Ahmad ka imraan hai.
Hai roomaale zehra me aansu mere.
Meri aakherat ka woh saamaan hai.
Shahedee'n ke qadmo se karbobala.
Khayaabaa'n Khayaabaa'n Khayaabaan hai.
Yeh abbas hai ya ali nehr par.
Yahi soch kar fauj hayraan hai.
Nabi se mukhatib yu'n imraan hai.
Ke qurbaan tujh par meri jaan hai.
Nabi ne bhi imraan se yeh kaha.
Chachajaan tum se meri shaan hai.
Jo khayyaat hasnain ka ban gaya.
Woh daarogha jannat ka rizwaan hai.
Ghadeero fidaq aur karbobala.
Yeh
Navehad shiyo'n pehchaan hai.
Naushad Bijani
Sibtain sayyadi
jo baqi zamane me insaan hai
ye shabbir ka hi to aehsan hai
laaee'n kat kar sar pareshan hai
ke hoto'n pe Asgar ke muskan hai
Baghawat Ali Se Nabi Se hai pyaar
Muqmmal Kaha'n Tera Iman Hai
Dilo Me Hamesha Basale Ali
Rasoole Khuda Ka Ye Farman Hai
Nabi ki shari'at mitegi nahi
Ke Shabbir Dekho Nigeban Hai
ye darbar tera hukumat tari
Tu bimar se kyu pareshan hai
Suno qalma go mera dawa hai ye
Madadgaar Ahmad ka imraan hai
jo binte mohammad ka Haq chheenle
to sibtayn woh shakhs haiwaan hai
Sibtain sayyadi