Naushad Bijani
Qabl 1400 baras ahle arab the jaahil.
Dafn kar dete the turbat me woh zinda beti.
Aaj insaan tarakki se bana hai ajhal.
Payda dunya me woh hone nahi deta beti.
Mujh ko manzoor hai beta de khuda, ya beti.
Qurrate ayn hai maa'n baap ke beta beti.
Ha magar deen me beti ka hai aala rutba.
Beta neamat hai to rehmat ka hai darya beti.
Beti moosa ne thi maangi yu'n khuda se keh kar.
Baap ke vaaste hai shaane janaaza beti.
Ghayrate ummate Ahmad nahi bedaar huvi.
Umr bhar karti rahi baap pe girya beti.
Kis qadar baap ki yaado me woh tadpi dono.
Sughra yasrab me to zinda'n me sakeena beti.
Shaame ghurbat me chali ran ke andhere me woh.
Dhoondne baap ko or baap ka seena beti.
Laashe be-sar ne sada haatho ko fayla ke di.
Mai yaha'n soya hu aaja meri aaja beti.
Laashe baaba ki taraf roti huvi jaane lagi.
Thaam ke apna andhere me kaleja beti.
Lashe se baap ki liti yu sakeena jayse.
Pa gai sadiyo se khoya huva baaba beti.
Baap ke seene pe sar rakh ke bahaakar aansu.
Ayk ik zulm ka karti rahi shikva beti.
Aa gaye shaame ghareebaa'n me najaf se haidar.
Toota neza liye jab deti thi pehra beti.
Dekh ke ghurbate zainab yeh kaha haidar ne.
Baap aaya hai tujhe dene dilaasa beti.
Yeh haqeeqat hai ke Navshad siva zehra ke.
Koi dunya me nahi umme abiha beti.
Naushad Bijani
Jafarali Jafar
Sukoon-e- qalbe padar ki hai ek dua beti
Naseeb walo ko deta hai bas khuda beti
Bikhre ghar ko wo bana deti hai jannat ki tarah
Ho agar sahibe imaan or taqwa beti
Hai beta neymate khuda agar zamane me
Yaqee'n jaaniye hai'n rehmate khuda beti
Khuda ki rehmate naazil waha'n per hoti hain
Hai'n rehti jinke gharon me bhi ba-haya beti
Khuda ne jisko banaya hai juz Nabuwat ka
Mili hai tumko faqat aisi Mustafa beti
Rahegi nasle nabi hashr tak zamane me
Sanad hai surah-e-kausar ki Fatima beti
Karke taazeem batate'n hain nabi duniya ko
Iffato'n izzato'n barkat ka hai saya beti
Siwaye Fatima ke kainaat me Jafar
Koi duniya me nahi umme abeehaa beti
Jafarali Jafar