Navshad Bijani
Karam hai khuda ka zameeN par hai baaqir.
Do aalam me mehboobe daawar hai baaqir
Hai wasris, dare shehre ilme nabi ka.
Uloome nabuwwat ka saaghar hai baaqir
Hai qasre iram har tera dar ka zarra.
Tera ghar to jannat se behter hai baaqir
Malaaik ka sardar jibreel hoga
Magar tere dar ka woh naukar hai baaqir
Jo teero'n ki pushto'n pe teero'n ko chhore.
Jaha'n me ik aysa ghazanfar hai baaqir
Harek waar hota hai dushman ka naakaam.
Mohammad ke mazhab ka bakhtar hai baaqir.
Woh ud ud ke pahucha hai saare jaha'n me.
Ata dee'n ko tune kiya par hai baaqir
Hai daste ata aapka mere sar par.
Sitamgar se mujko na ab dar hai baaqir
Jo de ilm se maat jehle jaha'n ko.
Woh zainul aba ka guletar hai baaqir
Chale jaao daanisvaro'n ke chaman me.
Zabaano pe naam unki aksar hai baair
Tuje yeh jaha'n me hai aijaza haasil.
Tera daada zehra ka shauhar hai baaqir
Mile tere qadmo ki mitti jo mujh ko.
To mere liye woh bhi zewar hai baaqir
Tera ilm aaqil ki khaatir hai heera.
Na samje jo isko woh pattahr hai baaqir.
ZameeN par qadam aap ke jis jagah the.
VahaN aaj Navshad ka sar hai baaqir
Navshad Bijani