( By Naushad Bijani
in MaddaeAaleAba )
Naushad Bijani
Raha mehve sana quraa'n ka har paara ghazanfar ka.
Qaseeda pad raha hai khaana e kaaba ghazanfar ka.
Nahi haasil huva nabiyo'n ko bhi aysa sharaf yaaro.
Julaaya hai imaame waqt ne joola ghazanfar ka.
Shabe tareek me jo dekhta ghaazi ko woh kehta.
Nazar aata hai mujh ko chaand sa chehra ghazanfar ka.
Fakat gardo ghubar aaye nazar khayme se saahil tak.
Gaya udta huva tezi se yu ghoda ghazanfar ka.
Sakeena ka vaseela de ke sab kuchh maan ghaazi se.
Yaqee'n ke saath kehta hu karam hoga ghazanfar ka.
Jari ka dekh kar chehra kaha sarwar ne shabbar se.
Wafa se dekhiye labrez hai seena ghazanfar ka.
Laeeno ne na paaya farq kuchh abbaso haidar me.
Ali ke jaysa tha kuchh is tarah hulya ghazanfar ka.
Jari payda huve to boli yeh ummul banee'n sab se
Husain ibne ali hai aaj se aaqa ghazanfar ka.
hamesha roi baade karbala ummul banee'n sheh par.
lahad me apni maatam karti hai zehra ghazanfar ka.
Dare jannat pe kyu rizwa'n bhala Navshad ko roke.
Use maaloom hai ke aagay shaida ghazanfar ka.
Naushad Bijani
+44 704 852 187