Navshad Bijani
Roke kehti hai turbat me zehra.
margaye qayd khaane me kaazim.
Ker ke maatam woh kehti hai dukhiya.
margaye qaydkhaane me kaazim.
Aaj hai har taraf shore maatam.
Ghar me shii'on ke hai gham ka aalam.
Peet ta hai har ik apna seena.
Mar gaye qayd khaane me kaazim.
Jo mohammad ka lakhte jigar tha
Fatema or ali ka pisar tha.
Aaj uth ta hai uska janaaza.
Mar gaye qayd khaane me kaazim.
Ho gai thi ajab unki haalat.
Zehre qaatil se paakar shahaadat.
Dil mera gham se hai paara paara.
Mar gaye qayd khaane me kaazim.
Zaslimo ko na kuchh rehm aaya.
Mere maula ko haaye sataaya.
Qabr me faatema ko rulaaya.
Mar gaye qayd khaane me kaazim.
Daure ghurbat me tha be watan tha.
aur bekas aseere mahan tha.
Shak hai is gham se mera kaleja.
Mar gaye qayd khaane me kaazim.
Haye kaysi ye majbooriya'n thi.
Mautb ke baad bhi bediya'n thi.
Haye kaysa ttha zaalim zanmaana.
Mar gaye qayd khaane me kaazim.
Marsiya hai yeh maula raza ka.
Bekas ay mere mazloom baaba.
Fenk kar sar se bole amaama.
Mar gaye qayd khaane me kaazim.
Aakh Navshad ashko se kar tar.
Mang tu aaj maula ke dar par.
Tujh ko mil jaayega unka sadqa.
Mar gaye qayd khaane me kaazim.
Navshad Bijani
+46 704 852 187