Navshad Bijani
Jhoomta hai aaj kausar raat hai meraaj ki.
Arsh par aaye payambar raat hai meraaj ki.
Ambiya mil kar gale kehte hain yeh sab baar baar.
Marhaba allaho akabr raat hai meraaj ki.
Har taraf rehmat ki baarish ho rahi hai dehr me.
Do jaha'n me sab se behter raat hai meraaj ki.
Saf ba saf har ik malak aaya nabi ke saamne.
Noor ka jaama pahan kar raat hai meraaj ki.
Sayr kar ke aalame anwaar ki mere nabi.
Aa gaye pal me palatkar raat hai meraaj ki.
Mezbaa'n allah hai aur mustafa Mehmaan hai.
Saath hai dono ke haidar raat hai meraaj ki.
Tohfe me rab ne salaate panjgaana ki ata.
chamka ummat ka muqaddar raat hai meraaj ki.
Hai ibaadat aaj ki shab aala har zar se meri.
Kya karu ab laal o gauhar raat hai meraaj ki.
Arsh par milakr Mohammad aur rabbe kaayenaat.
Kar rahe hain zikre haidar raat hai meraaj ki.
Arsh par rab ne fazilat ki ali ki woh kaho.
Bole yeh Ahmad se bozar raat hai meraaj ki.
Mehfile meraaj me "Navshad" kar zikre ali.
Banke to haidar ka naukar raat hai meraaj ki.
Navshad Bijani
+46 704 852 187