Naushad Bijani
Jaha'n me hai teri badi shaan zainab.
sana teri karta hai quraan zainab.
Tere sabr se teri qurbaaniyo se.
Mahekta hai dee'n gulistan zainab.
Hai naana nabi tera baaba ali hai.
Tera bhaai jannat ka sultan zainab.
Hai deene khuda zinda tujh se jaha'n me.
Tere dam se baaki hai quraan zainab.
Diya tune tohfe me roomaale zehra.
Use jo tha sarwar ka mehmaan zainab.
Ata maatame sheh kiya tune mujh ko.
Jo hai meri bakhshish ka saamaan zainab.
Muslmaan kehte hain quraan jisko.
woh teri sana ka hai deevaan zainab.
Salaam aap par bhejte hain hamesha.
Khuraasa'n se shaahe khuraasaan zainab.
Raqam lauhe mehfooz me yeh bhi hoga.
Hai deene nabi ki nigehbaan zainab.
Aqeeda yeh "Navshaad" ka keh raha hai.
hai misle iram tera daalaan zainab.
Naushad Bijani
+46 704 852 187