Naushad Bijani
KhaaroN ko rond dega, ban kar gulaab asghar
Teere sitam ka dega, ran me javaab asghar.
Shughra ka hai biraadar jaane rubaab asghar.
Akbar ki misl ran me hai kaamyaab asghar.
Royenge khauf se tab aansu baha ke zaalim.
Barpa karega ran me jab inqelaab asghar.
Pyaasa gaya jahaN se sayraab kar ke sab ko.
Sadqa hai ab tumhaara dunya me aab asghar.
Zulmo sitam jahaN se tumne mita deye hai.
Kar ke sitamgaro ka khaana kharaab ashghar.
Inkaare shaah ban kar ik pal me kar gaya hai
Bay'at ke baanioN ko tu benaqaab asghar.
Khayme ke dar pe aakar shabbeer ne sada di.
MaydaN se hoke aaya hai kaamyaab asghar.
Haq ko buland kar de baatil ko past kar de.
Hai is qadar moassar tera khitaab asghar.
Insaaniya ka kisko kehte ho tum maseeha.
Zaalim se maagnta hai ran me javaab asghar.
Baabul muraad hai yeh Navshad mango inse.
Haajat rava karega aali janaab asghar.
Naushad Bijani
+46 704 852 187