( By Naushad Bijani
in MaheRamadhan )
Naushad Bijani
Ho teri nazre karam ham par sada parwardeegaar.
Ta abad ham par rahe teri ata parwardeegaar.
Laakh sajde kar ke bhi mai kar na paaunga kabhi.
Shukr teri ayk ne'amat ka ada pareardeegaar.
Zikr teri nea'amatoN ka mai karu na kyu bhala.
Paas mere hai zabaN teri ata parwardigaar
Yeh do ne'amat mil nahi sakti bina tere karam.
Ishqe haydar or ghame karbobala parwardeegaar.
Zikr tera hai shifa aur naam tera hai dava.
Bakhsh de bando ki apne har khata parwardeegaar
Gham na de koi hame dunya ke gham se de najaat.
De hame tu bas ghame shaahe hoda parwardeegaar.
Bakhsh de kaafir ko tu to mujhko koi gham nahi.
Dushmane zehra ko lekin tu jala parwardeegaar.
Ho khafa mujh se jahaN vaale to woh hote rahe.
Chaahta hu mai to bas teri raza parwardeegaar.
Umr bhar ban kar raha hu tera naafarmaan mai.
Kaise kar paaunga tera saamna parwardeegaar.
Panjetan ka waasta deta hu tu kar de mujhe.
Ma'arefat ka teri ik zarra ata parwardeegaar.
Mai gavaahi deta hu waahid hai tu yakta hai tu.
Hai nahi tere siva koi khuda parwardeegaar.
Hai dua Navshad ki ya rab tu usko bakhsh de.
Jis ne thaama daamane aale aba parwardeegar.
Naushad Bijani
+46 704 852 187