Naushad Bijani
Jaane zehara o ali shabbeer ka pyaara hasan.
Or mohammad mustafa ki aankh ka taara hasan.
Mere maalik mere rehbar ay mere aaqa hasan.
Hashr me na chhorna tanha mujhe maula hasan.
Seerate aale mohammad par raho tum gaamzan.
Fir kaho ay mominp labbayk ya maula hasan
Ki hifaazat sulh kar ke aap ne islaam ki.
Bay'ate baatil ko hai yun aap ne ronda hasan
Deene Aahmad aap ke dam se zinda aaj bhi.
Hasr tak hota rahega aap ka charcha hasan
Sulh kar ke aap ne islaam ko de di hayaat.
Aaj bhi ummat pe hai yeh aap ka qarza hasan
Dushmano ne bhi gavaahi de di yeh kehte huve.
Hai ajab shaane kareemi rehm ka darya hasan
Khaana e kaaba ki jaanib karte hai sajda sabhi.
Ha magar kaaba hai karta aap ko sajda hasan
Aap ke nauqe qalam ko kehte hain shamsheer sab.
Sulh jaise aap ki hai amn ka khayma hasan.
Kaam kuchh aysa kiya hai deeN ki khaatir aap ne.
Hasr tak dushnam tumhaara hoga sharminda hasan.
Loot kar chaahe fidaq le jaaye zaalim ha magar.
Hai madeena aap ka hai aap ka kaaba hasan.
Raat din le jaate hai aakar yahaN se rotiyaN.
Q malak fir na jhulaaye tera gehvaara hasan.
Chaar bete arzaqe shaami ke tanha maar de.
Soorma aysa hai qaasim aap ka beta hasan.
Khaar ko jad se mitaakar aalme islaam se.
Bhar diya phooloN se deeN ka aap ne rasta hasan
Aap ki Navshad hardam karta hai mid'h o sana.
Aaj bhi milta hai us ko aap ka sadqa hasan.
Naushad Bijani
+46 704 852 187