Navshad Bijani
Jaha'n yeh aaj bhi kehta hai baar baar hasan.
Qalam se aap ki hai deen me bahaar hasan.
Tu leke aaya khushi aaj beshumaar hasan.
Nabi e paak ko tera tha intezaar hasan.
Rasoole paak ke dushman hai aaj se abtar.
Tumhaare dam se hai islaam bawaqaar hasan.
Agar tu chaahe to bakhshish hamaari ho jaaye.
Khuda ne tujh ko diya hai woh ikhteyaar hasan.
Tu mit te deeN ko bachaayega sulh se ik din.
Nabi ko tum pe tha beshak yeh etebaar hasan.
Khuda ke deeN ko qalam se bahaar karke ata.
Jala ke rakha diya tune har ayk khaar hasan.
Rakhega dil me mohabbat agar teri koi.
Na hoga uski lahad me kakhi fishaar hasan.
Nabi ke deen ka gulshan hara bhara kar ke.
Ujada aada ka tune har ik dayaar hasan.
Yu bakhshta hai khushi do jahaN me momin ko.
Sitam ki fauj ko tu kar ke taar taar hasan.
Jo banke aaye the dushman, ghulaam ban ke gaye.
Hai lajavaab tera aysa inqesaar hasan.
Guzaarish itni hai navshad ki fakat tum se.
Tere ghulaamo me mera bhi ho shumaar hasan.
Navshad Bijani
+46 852 187