Naushad Bijani
Khatm lo ho gaya ramzaan khuda khayr kare.
Chhut ke ab aayega shaytaan khuda khayr kare.
Hur ko seene se laga kar yeh kaha sarwar ne.
Aap par ay mere mehmaan khuda khayr kare
Roze mehshar yeh munafiq ne kaha hay afsoos.
Daste haidar me hai mizaan khuda khayr kare.
Aap bhi aal me shaamil hai meri, bole nabi.
Aap par hazrate salmaan khuda khayr kare.
Mujh ko hasnain ke khayyat ka haasil ho sharaf.
Yeh dua karta tha rizwaan khuda khayr kare.
Hashr tak jeene ka saaman mohayya kar ke.
Ho gaye maut se anjaan khuda khayr kare
Maahe ramzaN me gunaho se na mai bach paaya.
Khud pe kar paaya na ehsaan khuda khayr kare.
Log do chaar hi aayenge namaazo me fakat.
Hogi fir masjide veeraan khuda khayr kare.
Baade ramzaan fir ik baar musalmaanoN ka.
Toond ho jaayega imaan khuda khayr kare.
Rakkhenge taaq pe qur'aan saja kar ab to.
Us pe chad jaayega juzdaan khuda khayr kare.
Tod kar eid ke din hadde shariyat momin.
Bas gunaaho me hai ghaltaan khuda khayr kare.
Bhuke hai eid ke din dekhiye bewa o yateem.
Aur hai jashn me dhawaan khuda khayr kare.
Maahe ramzaaN me ibaadat ka tha saamaan wahaN.
Ab gunaaho ka hai saamaan khuda khayr kare.
Fe'le bad karta hai insaan khuda khayr kare.
Aur iblees pe bohtaan? Khuda khayr kare.
Hashr tak jeene ka saaman hai Navshad magar.
Ho gaya maut se anjaan khuda khayr kare
Naushad Bijani
+46 704 852 187
Sibtain sayyadi
Band hone ko hai Quraan khuda khayr kare
Khatm hone ko hai Ramzaan khuda khayr kare
Zikre haidar hi bacha leta hai muje ko har dam
Warna har gaam hai Shaitan khuda khair kare
Qatile Zahra ko Laanat se bachane KE liye
Koshishe karta hai Nadaan Khuda khair kare
Zikre imraan se taza huwa imaan mera
Muj se kya ullje ga tu shaitan?? khuda khair kare
Maatame Shaah ko batlaata hai biddat mufti
Hogaya hai usey Hizyaan khuda khair karey
Shaikh mushkil me Ali ko hi pukaaro Ab tum
Na wo teen Aayenge Shaitaan khuda khair kare
Jab se Ahmad ne banaya hai Ali ko moula
Jal ke hai Jab se musalmaan khuda khair karey
Ab sabilo pe bhi dene laga fatwe mufti
Tere dil me nahi imaan khuda khair kare
Aise teeno ko chuna hai ye musalmano ne
Chorde Aaye hain wo maidaan khuda khair kare
Ek ishare se palat aaya hai suraj tho kaha
Moula tu hai mera Bhagwaan khuda khair kare
Eid ka chand nazar Aate hi jab se Sibtain
Aagaya zehno me Shaitaan khuda khair kare
Sibtain sayyadi
+91 90320 10018