( By Sibtain sayyadi
in MeesameTammar )
Tha Labon par ye Zainab ke Nouha
Uth raha hai ali ka janaaza
Ro rahi hai tadap kar wo dukhiya
Uth raha hai ali ka janaaza
Pad the hai Ro ke hasnain Nauha
Doba hai Soog me sara kunba
Aaj maatam hai koofe me barpa
Uth raha hai ali ka janaaza
Baap ka saya sar se uta hai
Gham se dil mera phat ne laga hai
Hogai Aaj zainab yateema
Uth raha hai ali ka janaaza
Gusl ke Waqt shabbar NE Dekha
Zaqm Gahra Sare Murtuza ka
Usko hoga Yahee Eik Sadma
Uth raha hai ali ka janaaza
Aale imran ki ye sada hai
Aaj ruksat wali ye khuda hai
Horaha hai Ab veeran koofa
Uth raha hai ali ka janaaza
Ghar me zehra ke Aaho buka hai
Saqt mushkil me Ab mujtaba hai
Aur janaaze pe sheh ka hai giriya
Uth raha hai ali ka janaaza
Maara sajde me zalim ne zarbat
Dard sehe sehe ke pai shahadat
kithe na mazllum tha mera moula
Uth raha hai ali ka janaaza
Quld me bhi ye matam bapa hai
Gham me haidar ke Aaho buka hai
Bas yehi kehe ke SIBTAIN Roya
Uth raha hai ali ka janaaza
Sibtain Sayyadi
9032010018