Hai ibaadat dekhna ulfat se chehra baap ka.

( By Naushad Bijani

in Valedayn )
  • Name:
  • Section:
    Valedayn
  • Number of pages:
  • Date Added:
    17/06/2019
Hai ibaadat dekhna ulfat se chehra baap ka.

Naushad Bijani
Rahmate allah hai dunya me hona baap ka
Hai ibaadat dekhna ulfat se chehra baap ka
 
Bhul mat jaana jawaN ho kar tu rutba baap ka.
Tu samajna umr bhar ehsaN saraapa baap ka.
 
Ghar me laata hai kama kar baap hi rizqe halaal.
Ha magar mehnat se behta hai paseena baap ka.
 
Ho ke rab naaraaz tera rizq kam kar dega woh.
Dil agar tune zaeefi me dukhaaya baap ka.
 
Rehti hai mustaghna har ik fikr se dunya me woh.
Jab talak aulaad pe hota hai saaya baap ka.
 
Rusva mat usko tu karna uske mar jaane ke baad.
Kaare bad se mat dubo dena safeena baap ka.
 
Baap is ummat ke do haiN ik nabi or ik ali.
Bhool baythe rutba yeh ahle sakeefa baap ka.
 
Kehte hai kaafir ali ke baap ko woh log sab.
Jiske ke milta nahi jag me thikana baap ka.
 
Isme hai teri bhalaai yuN samaj lena sada.
Sakht ho jaayr agar *Naushad* lehja baap ka.

Naushad Bijani
Peet kar karti thi maatam haaye zehra baap ka.
Raat din ro ro ke padti thi woh nawha baap ka
 
Haal qaasim mai bayaN kaise karu ay momeno.
Laut kar aaya tha jab ghar me janaaza baap ka
 
Kehte the ro ro ke Aabid karbala se shaam tak.
Kar na paaya dafn mai uryaan laasha baap ka.
 
Khaak par shaame ghareebaN me na aayi neend  jab.
Intezaar us waqt karti thi sakeena baap ka.
 
Dekha jab kadiyal jawaN ke seene me barchhi ka fal.
Gham se tab hone laga chhalni kaleja baap ka
 
Ho ke rukhsat jab chale akbar to yeh bole husain.
Dekhte rehna zara mud mud ke chehra baap ka.
 
Aagaye shaame ghareebaN me ali kehte huve
Kar qubool ay zaynabe kubra tu pursa baap ka.
 
Ro rahi thi woh bilak kar shaam ke zindaan me.
Yaad kar kar ke sakeena haaye seena baap ka.
 
Gham se fat ta hai jigar *Navshad* yaad aata hai jab.
Laashe akbar ko zaeefi me uthaana baap ka.
Naushad Bijani
+46 704 852 187




Jafar ali Jafar
Khushnaseebo ko mila karta hai saya baap ka
Baa'ise rehmat khuda hai ghar me hona baap ka

Kitni mehnat se hai karta parwarish aulad ki
Kya samajh payenge ham ghar ko chalana baap ka

Ho kabhi aawaz na hargiz buland maa-baap se
Hai ibaadat dekhna ulfat se chehra  baap ka

Kitni hi mushkil ho chahe ghamzada ho'n dosto
Deta hai dil ko sukoo'n bas thapthapana baap ka

Le gaye  aksar kabhi masjid kabhi majlis me wo
Yaad aata hai mujhe yu'n dee'n sikhana baap ka

Khidmate maa-baap ka kismat se milta hai sharaf
Dekho tum hargiz kabhi na dil dukhana baap ka

Kis tarah bandhta hai sehra unke dil se poochiye
Jinke sir se uth gaya shafqat ka saya baap ka.

Kehte the Qasim ijazat ran ki de do ae Chacha
Hai bandha baazu me mere dekho nama baap ka

Waqte rukhsat kehte the akbar se ye rokar Hussain
Tum samajh sakte nahi yu'n piche aana baap ka

Ya Ali karna madad mushkil bahut hai marhala
Bete ke seene se hai barchi hatana baap ka

Bhool na paayi sakina manzar-e-karbobala
Waqt-e-aakhir seene per apne sulana baap ka

Bakshi hai Allah ne anmol daulat ye Hame
Kis tarah likhu mai Jafar Kya hai rutba baap ka
Jafar ali Jafar
+91 89234 37861

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Hai ibaadat dekhna ulfat se chehra baap ka. ( By Naushad Bijani in Valedayn )

17/06/2019

Hai ibaadat dekhna ulfat se chehra baap ka.
VIEW WRITE UP