Naushad Bijani
Karbala Karbala Karbala Karbala
Hai shikasta diloN ki dava karbala.
Tere seene pe rakh kar jari (a.s.) ne qadam.
Kar diya tujhko ba-martaba karbala.
Khoon shabbeer ka tujh pe jab se gira.
Khaak tab se hai teri shifa karbala
Saari dunya me apni lahad ke liye.
Sheh ne daaman hai tera chuna karbala.
Itna aala karm sheh ne tujh par kiya.
Door kardi teri har bala karbala
Haq ki khaatir zameeN par teri aake fir.
Sheh ne katvaya apna gala karbala
Naam aysa kiya sheh ne raushan tera
Ke zameeN par hai ab har jagah karbala.
Ab ho jinno bashar ya ho hooro malak.
Har zabaN par bas ik sada karbala.
Raat din har pahar gham ho ya ho khushi.
Lab pe Navshad ke hai sada karbala
Naushad Bijani
2019-11-02
Sarkil Nagri
AAJ HAI HAR TARAF TAZKIRA KARBALA
HAI SHIKSATA DILO KI DAWA KARBALA
GHAR SE NIKLEGE HUM KITNI MUSHKIL BHI HO
TUJHE PE DIL HAI HAMARA FIDA KARBALA
KARTE HAI ARSH WALE ZIYAARAT TERI
YE SHRAF BHI HAI TUJHKO MILA KARBALA
BISTAR E MARG SE UTHE KE KEHNE LAGE
DE RAHI HAI JAHA KO SHIFA KARBALA
QABR KI TEERGI SE MY KAISE DARU
MENE APNE KAFAN PAR LIKHA KARBALA
AASMAA'N TUJHKO KARTA HAI JHUK KAR SALAM
SAB ZAMEENO SE TU HAI JUDA KARBAL
ZAYERO KO KABHI WO NAHI LOOT TA
KHOON ME JIS KE BHI HAI WAFA KABALA
PHIR WATAN AAKE MAKKARIYA'N CHOD DE
SAB KO HUR KI TARHA TU BANA KARBALA
KHWAISHE DIL HAI SARKIL KI YE AAKHARI
SHEH KA RAUZA TU ISSKO DIKHA KARBALA
Sarkil Nagri
2019-11-02
TahirAbbas M Sunasara
है शिकस्ता दिलो की दवा करबला,
हम ग़रीबो का है आसरा करबला।
तेरी मिट्टी है सबसे जुदा करबला,
इससे मिलती है सबको शिफा करबला।
क्या बताऊ के क्या क्या हुवा करबला,
रहेनुमा, हलयज़ा, मद्रसा करबला।
नाज़ करता है अर्शेबरी आज भी,
रुतबा ऐसा तुम्ही को मिला करबला।
चाहिये फ़ैज़ रूहानियत का अगर,
दिल बनादो तुम्हारा सदा करबला।
देख कर आसमां से मलक बोल उठे,
फर्श पे नूर की है शमा करबला।
शाह अपने लहू से सजायी तुम्हे,
इसलिये तेरी आला जगा करबला।
इल्म का है समंदर सुनो मोमिनो,
बन गयी ऐसी ही दासता करबला।
खुल्द महेसूस करने लगे ज़ाऐरीं,
ऐसी है तेरी आबोहवा करबला।
कल्ब होता है *'ताहिर'* का अब बे करार,
जल्द अय मेरे आका बुला करबला।
TahirAbbas M Sunasara
2019-11-02