Naushad Bijani
Rond di mukhtaar ne aale umayya ki khushi.
Dono aalam me hai chhaayi eide zehra ki khushi
Hoga khush tumse khuda, gar tumse khush honge nabi.
Hai Mohammad ki khushi umme abeeha ki khushi.
Chheen kar jisne fidaq naaraaz zehra ko kiya.
Baad marne ke na paayega woh uqba ki khushi
Dekh kar saahil pe abbase dilaawar ke qadam.
Mauj ki maanind bas uchhli thi darya ki khushi
Bay'ate baatil ko thukra kar shahe zeeshaan ne.
Rond di qakmo tale ehle sakeefa ki khushi
Toot kar deewaare baytullah ne batla diya.
Aamade shere khuda me hai yeh kaaba ki khushi
Karbala ke baad hargiz muskurate ham nahi
Dekhte gar ham nahi sajjad maula ki khushi
Hurmala ko maar kar mukhtaar yeh kehne lage.
Mera maqsad to fakat hai shaahe waala ki khushi
Puri kar denge teri abbase ghazi har muraad.
Kar amal ayse ke jisme hai sakeena ki khushi.
Roze mehshar bilyaqee Navshad woh pachhtayega.
Jo khareede becha kar uqba ko dunya ki khushi
Naushad Bijani
2019-11-06
+46 0704 852 187