( By Naushad Bijani
in MaddaeAaleAba )
Naushad Bijani
Mil gai usko bulandi dar ali ka choom kar.
Kyu na chamke fir ali ka dar sitaara choom kar.
Milta hai bin maage sab dar se tumhaare ya husain.
Tha ye fitrus ka qaseeda sheh ka jhoola choom kar.
Meri aankhoN se bahe farshe aza par ashk or.
Ban gaye gauhar woh sab roomaale zehra choom kar.
Di sada takrake yeh faulaad se bhi sakht hai.
Tooti jab nauke sina akbar ka seena choom kar.
Tere dam se aaj dunya me hai mera bhi wajood.
Kehta hai kaaba bhi yu sarwar ka rauza choom kar.
Kuchh nahi hai haysiyat jannat ki iske saamne.
Faatema ka dar sada kehti thi fizza choom kar.
Jhoomte hai zikre haidar sunke yuN ehle wila.
Jayse palte ho woh kausar ka kinaara choom kar.
Hashr tak sadqa hai ab yeh asghare besheer ka.
Is liye khaata hu mai har ayk daana choom kar
Roze mehshar bil yaqeeN Naushad woh pachhtaenge.
Jisne loota hai fidaq ko takhte dunya choom kar.
Naushad Bijani
2019-11-10
+46 704 852 187