Naushad Bijani
Khaadim hu mai unka mera aaqa hai Mohammad.
Mujh ko to dilo jaan se pyaara hai Mohammad
Doobe na kabhi aysa sitaara hai Mohammad.
Islaam ki kashti ka kinaara hai Mohammad.
Ay shaykh na samjo ke akela hai mohammad.
Hai qaule nabi dehr me 14 hai Mohammad
Isme kya ta'ajjub ke woh aalam ka hai sardaar.
Imraan ki aaghoosh ka paala hai Mohammad.
Na teer na talwaaro tabar aur na taaqat.
Akhlaak se dushman ko jhukaata hai Mohammad.
1400 baras hogaye par dhoop na dekhi.
Ummat pe tera aaj bhi saaya hai mohammad
Abbaso ali jafaro hamza ka hai kehna.
Tu chaand hai tu chaand ka mukhda hai mohammad
Mehshar me bhala hoga woh kis shaan ka maalik.
Dunya me tujhe jisne bhi paala hai Mohammad
Hota hi nahi dhoop me saaya tera hargiz.
Par sar pe tere abr ka saaya hai Mohammad
Allah ka ghar kaaba hai ummat liye hi.
Larayb magar kaabe ka kaaba hai hai Mohammad
Loota hai laeeno ne jise shakle fidaq me.
Dar asl woh tera hi khazaana hai Mohammad
Jeeteji madeene me use aap bulaaleN
Navshad ke dil ki yeh tamanna hai Mohammad
Naushad Bijani
+46 704 852 187
2019-11-11