( By Naushad Bijani
in MaddaeAaleAba )
Naushad Bijani
JahaN par ijaara mohammad ka hai.
Yeh saara zamaana Mohammad ka hai
Lutaaya hai islaam par jisne ghar.
Woh pyaara navaasa Mohammad ka hai
Jo pahuchaade shiyo ko kausar talak.
Fakat woh safeena Mohammad ka hai
Hai kaabe se makka mozayyan magar.
Munawwar madeena Mohammad ka hai.
Hai leta jajaN se qamar apna noor.
Woh nooraani chehra Mohammad ka hai
Na tha jisme Ahmad ka saaya koi.
Magar deeN pe saaya mohammad ka hai.
Yaqeenan shikasta diloN ke liye.
Hamesha sahaara Mohammad ka hai
Husaino hasan jayse do phool se.
GulistaN mahekta mohammad ka hai
Mohammad hai sajde me or psht par.
Savaar ik navaasa Mohammad ka hai
MusalmaaN pale jisjo khaakar sada.
Woh maale khadeeja Mohammad ka hai
Use zer imraan ne kar diya.
Bura jisne chaaha Mohammad ka hai
Fidaq to fakat Faatema ka hai haq.
Likh yeh navishta Mohammad ka hai.
Jo khaybar ke faateh ko khum me uthaaE
Woh mazboot shaana Mohammad ka hai
DuaaoN me Navshad ki har ghadi
Yaqeenan waseela Mohammad ka hai
Naushad Bijani. 2019-11-12
+46 704 852 187