( By
in MaddaeAaleAba )
Naushad Bijani
Jahaano ke aaqa rasoole khuda haiN.
Shahenshaahe uqba rasoole khuda haiN.
Sakhaawat ka darya rasoole khuda haiN.
Karam ka maseeha rasoole khuda haiN.
Yaqeenan yeh sardaare kauno makaN haiN.
RasooloN me aala rasoole khuda haiN.
Vazeefa hai hoorane firdaus ka or.
FarishtoN ka naghma rasoole khuda hai.
Ali keh rahe haiN ghulam unka hu mai.
Mere bhi to aaqa rasoole khuda haiN.
Yeh hai hukme rab jiska maula hai haidar
Fakat uska maula rasoole khuda haiN.
Jo makhlooke awwal hai noore khuda hai.
Woh imraaN ka paala rasoole khuda haiN.
Woh laulaak me ilm ka hai madeena.
Hidayat ka chashma rasoole khuda haiN.
Bhateeja hai imrano binte asad ka.
To haydar ke bhayya rasoole khuda haiN.
Yeh naana haiN sabbeer o shabbar ke logo.
To zehra ke baaba rasoole khuda haiN.
Na ghabraana Navehad tu rauze mehshar.
Ke shaafi tumhaara rasoole khuda haiN.
Naushad Bijani
+46 704 852 187
2019-11-12