maddahe aale aba, Navshad Bijani

( By Naushad Bijani

in MaddaeAaleAba )
  • Name:
  • Section:
    MaddaeAaleAba
  • Number of pages:
  • Date Added:
    16/01/2019
maddahe aale aba, Navshad Bijani

Navshad Bijani
Haq vaalo me hoga na sitamgaar ka dar.
Phoolo'n me nahi hota kabhi khaar ka dar.
 
Bay'at woh talab karte nahi ab haq se.
Baatil ko hai shabeer ki inkaar ka dar.
 
Khutba diya ik qaydi ne jab mimbar se.
Chaane laga darbaar me beemaar ka dar.
 
Haydar ko woh ro ro ke na sone dega.
Ahmad ne liya saath tha jis yaar ka dar.
 
Saahil pe tu aajaayega pad naade ali.
Toofa'n me lage gar tujhe majhdhaar ka dar.
 
Marhab ne yeh khaybar me musalma'n se kaha.
Mujhko hai fakat haydare karrar ka dar.
 
The laakho magar chhod ke saahil bhaage.
Aysa tha sitamgar me alamdaar ka dar.
 
Aaya bina talvaar ke maydaan me woh.
Asghar ko nahi lashkare agyaar ka dar.
 
Parde me nishaa'n ab bhi chhupa rakkha hai.
Baatil me hai tooti huvi deevaar ka dar.
 
Navshad vahi zikre ali rokte hain.
Lagta jise haq ke tarafdaar ka dar.
Navshad Bijani