Khilaafe hurmala 6 maah ka besheer kaafi hai.

( By Naushad Bijani

in MaddaeAaleAba )
  • Name:
  • Section:
    MaddaeAaleAba
  • Number of pages:
  • Date Added:
    28/02/2019
Khilaafe hurmala 6 maah ka besheer kaafi hai.

Navshad Bijani
Girohe hasbona me takht ki ta'azeer kaafi hai.
Magar hamko nabi ki aal ki tasteer kaafi hai.
 
Nabi ne qoomu anni keh ke sabit kar diya sab par.
Tabarra ke liye do lafz ki taqreer kaafi hai.
 
Yazeede nahs ko kis muh se kahte ho raziyallaaah.
Hai us par laanate quraa'n yahi tahqeer kafi hai.
 
Kaha hur ne ke bakhshish ke liye maula ke qadmo me.
Sare takseer kham kardu yehi tadbeer kaafi hai.
 
Ada karbal ke maqsad ko karo tum ba amal hokar.
Guma'n yeh chhoor do ke maatame tatbeer kafi hai.
 
Kaha jinno malak se shaah ne karbobala me yeh.
Meri nusrat ki khatir katibe takdeer kaafi hai.
 
Yazeedi fauj me chaahe ho laakho hurmala fir bhi.
Khilaafe hurmala 6 maah ka besheer kaafi hai.
 
Mitaane ke liye dunya se baatil ki har ek taaqat.
Khumaini ke labo'n pe naarae takbeer kaafi hai.
 
Baland akhlaak bhi ho shayere aale mohammad ke.
paye imdad deewane dabeero meer kaafi hai.
 
Gavaahi tum fidaq ki kyu'n talab karte ho zehra se.
Nabi ke haath se likkhi huvi tehreer kaafi hai.
 
Abhi tak jo samaj paaye nahi sarwar ke maqsad ko.
Lagaate hai woh naara maatme shabbeer kaafi hai.
 
Aza ke farsh se aansu gire roomaale zehra me.
Hamaare vaaste logo yahi tawqeer kaafi hai.
 
Haqeeqat taalibe bay'at ki kya hai yeh bataane ko.
Ali ki betiy'o ki shaam me taqreer kaafi hai.
 
Imaame waqt ki karna hifaazat mujpe hai vaajib .
Gale par roklu mai hurmala ka teer, kaafi hai.
 
Nabi ki aal ka rutba samajna chaahta hai jo.
To unke waaste bas aayte tat'heer kaati hai.
 
Fishare qabr se Navshad mujko khauf ab kaisa.
Meri baali pe aae shaahe khaibargeer kaafi hai.
Navshad Bijani

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Khilaafe hurmala 6 maah ka besheer kaafi hai. ( By Naushad Bijani in MaddaeAaleAba )

28/02/2019

Khilaafe hurmala 6 maah ka besheer kaafi hai.
VIEW WRITE UP