Mazaare binte nabi pe aakar karenge saaya imaam ik din

( By Naushad Bijani

in MaddaeAaleAba )
  • Name:
  • Section:
    MaddaeAaleAba
  • Number of pages:
  • Date Added:
    25/11/2019
Mazaare binte nabi pe aakar karenge saaya imaam ik din

Mazaare binte nabi pe aakar karenge saaya imaam ik din.
 
Naushad Bijani
 
Khuda ke ghar me karenge ham nosh ishqe haidar ke jaam ik din.
Yeh chalte firte butoN ki kheechenge kas ke ham bhi lagaam ik di
 
Husain ke qaatiloN se woh inteqaam le kar hi saans lega 
Zaroor ghaybat se aayega faatema ka maahe tamaam ik din.
 
Rasool ke irg gird ahle sitam ki hogi na qabreN baaki.
Zahoor jab kar ke aayega waarise shahe zulkeraam ik din
 
Nabi ki seerat ali ke khutbe husain ka gham jahaN me hoga.
Wahaabiyat fir bikegi saare jahaaN me kodi ke daam ik din
 
Bahut sataya bahut rulaaya sitamgaro dekh lena tum bhi.
Hamaare maula karenge aakar tumhaara jeena haraam ik din.
 
Sabhi azaadare ibne zehra ke muh ko takte rahenge tum sab.
Pilaayenge apne haath se khud  imaam kausar ke jaam ik din.
 
Rasool zaadi ko jo sataate haiN woh bhi dushman rasool ke haiN.
Hadees yeh bhi nabi ki saare jahaan me hogi aam ik din
 
Falak se aakar bhi ibne maryam karenge bay'at imaame deeaN ki.
Sakeefa vaale bhi dekh lenge Nabi ke deeN ka nizaam ik din.
 
Jalenge woh ta-abad jahannam me jisne baaghe fidaq hai loota.
Ali ke sheida ka hoga baaghe iram me aala makaam ik din.
 
Karenge taameer milke rauza imaam ke hukm se azaadaar.
Mazaare binte nabi pe aakar karenge saaya imaam ik din.
 
 
Likhe hai ashaar is aqeedat se maine maula ki mad'h me yeh 
Qubool maula karenge Navshad ke yeh adna kalaam ik din

Naushad Bijani
+46 704 852 187