Husain deene payambar me bemisaal raha.
Naushad Bijani
Huqooqe deene khuda ka jise khayaal raha.
Use haraana har ik jang me mahaal raha.
Sada ye nauke sinaN se husain dete haiN.
Na baaki dehr me bay'at ka ab savaal raha.
Jamaalo zar bhi na the or na thi haseeN aavaaz.
Magar nabi ka moazzin fakat bilaal raha.
Na aayi naubate hijrat rasool ko jab tak.
Bhateeje ke liye imraan ban ke dhaal raha.
Yeh fakhr kar ke kaha karbala ne kaba se.
Mere naseeb me zehra ka har hilaal raha.
Nazar na aaya koi door door tak dushman
Ali ke sher ka saahil pe woh jalaal raha.
Buland itna huva ke falak ne choom liya.
Ghazab ka yu dare khaybar me tha uchhaal raha
Namak haraam nabi ke haiN dushmane haidar.
Mai ishq kar ke ali se namak halaal raha
Woh ayk bund bhi besheer ko na de paaye.
Yazeedi fauj me insaaniyat ka kaal raha
Fana yazeed huva aysa sheh se takra kar.
Na takhto jaaj rahe, jaaN gai, na maal raha.
Qalam uthaaya hai jisne bhi zikre haidar me.
Ataa e aale mohammad se woh nehaal raha
Har ayk zakhm har ik gha bhula ke aabid ko.
Rida e binte ali ka sada khayaal raha
Mujhe mila na rukhe jaun jaysa noor kabhi.
Falak pe chaand ko ab tak hai yeh malaal raha
Raza liye bina hote nahi kabhi daakhil.
Malak ko azmate zehra yu khayaal raha.
Abad se le ke abhi tak sabhi yeh kehte haiN.
Husain deene payambar me bemisaal raha
Ali ke ho gaye deedar mujhko ay Navshad.
Naseeb umda mera waqte inteqaal raha
Naushad Bijani
+46 704 852 187