Kha ke teere sitam muskuraunga mai.
Naushad Bijani
Daar se zikre haidar sunaunga mai.
Har munafiq ke dil ko jalaunga mai.
Muskilo tum na aana mere aas paas.
Warna mushkilkusha ko bulaunga mai.
Yeh zameeN par sharaf jaake paaunga mai.
Shaahe waala ka joola julaaunga mai.
Bola rizwaan hai hukme zehra mujhe.
Ban ke hasnain ka darji jaaunga mai.
Meri baali pe aayenge maula ali.
Maut ke waqt bhi muskuraunga mai.
Poochhenge jab farishte lahad me savaal.
Tab ali ka qaseeda sunaunga mai.
Kar ke sabbeer e muztar ke gham ko bayaN.
Har farishte ko rokar rulaaunga mai.
Rauze mehshar mere saare ashke aza.
Misle gauhar badan par sajaaunga mai.
Kar ke hijrat khudaya madeene talak.
Shehre makka se jis waqt jaaunga mai.
Maut se khaut khaate nahi murtaza .
Apne bistar pe usko sulaaunga mai.
Sabki waapis amaanat karenge ali.
JaanashiN usko apna banaaunga mai.
Jisko rone ki aadat hai shaamo sahar.
Saath apne use leke jaaunga mai.
Ghaar me jab woh makkaar roega to.
Chup kara ke use muskuraaunga mai.
Bole saghar laeeN ko rulaaunga ma.
Kha ke teere sitam muskuraunga mai.
Kar de elaan Naushad tu dehr me.
Farse gham apne ghar me bichhaaunga mai.
Naushad Bijani
+46 704 852 187