Aijaze ali hai ise deewaar na samjo
Naushad Bijani
Islaam ka tum sab ko alamdaar na samjo.
Jo dusmane deeN hai use saalaar na samjo
Jo tark namaazoN ko kare shaah pe rokar.
Usko kabhi sarwar ka azaadaar na samjo
Ta hashr ise jod na paaoge kabhi tum.
Aijaze ali hai ise deewaar na samjo
Makkar ko Ahmad se kabhi hota nahi pyaar.
Jo ghaar me roya tha use yaar na samjho
Toofaan me padte ho agar naade ali tum.
Fir kashti ko tum bar sare majdhar na samjo
Mehshar ke liye yeh to hai ghauhar ka khazaana.
Behte huve ashkoN ki fakat dhaar na samjo
QuraaN ki tilaavat ko suno nauke sinaN se.
Yeh fat'h ke naghme haiN ise haar na sajho
Gar aag pe chalte ho alam ghaazi ka lekar.
To phool hi samjho use angaar na samjho
Kankar ye har ik kehre khuda ban ke girega
Sirf isko abaabeel ki minkaar na samjho
Aashoor ke din ujda hai zsinab ka bhara ghar.
Is din ko kabhi eid ka tyohaar na samjho
Ahmad ka sahaabhi ho agar dushmane zehra.
Usko bhi kabhi khlud ka haqdaar na samjho
Besheer tabassum se ulat deta hai lashkar.
Baccha ise ay fauje jafaakaar na samjho.
Jannat bhi bana sakte haiN deewaane ali ke.
Mohtaaje iram unko khabardaar na samjo
Ashaab me bhi chand fidaq ke haiN lutere.
Afsos hai gar farqe gulo khar na samjo.
Gar fauje yazeedi me nazar aaye sahaabi.
Sad hai hai gar tum unhe makkar na samjho.
Mil jaaye use karbobala hai yahi kaafi.
Naushad ko jannat ka talabgaar na samjho
Naushad Bijani
+46 704 852 187