( By Naushad Bijani
in ImamHussain )
Mat samjho tum aza se juda maqsade husain.
Deta rahega dee'n ko baka maqsade husain.
baatil kabhi mita na saka maqsade husain.
baaki hai dekho ehle jafa maqsade husain.
islaah apne nafso ki ho jaayegi agar.
peshe nazar rahega sada maqsade husain.
Manzoor ham ko iske tahaffuz me hai kaza.
Lekin na hone denge kaza maqsade husain.
Allah ke nabi ne duaa'en hai di ise.
Zehra ki god me hai pala maqsade husain.
Ujde huve dayaar ko jannat bana gaya.
Banjar zamee'n ko de ke ziya maqsade husain.
Mehshar ke roz hona hai gar tujh ko kaamyaab.
Saaso'n me apni tu bhi basa maqsade husain.
Kauno makaa'n me goonj rahi hai sada ye aaj.
Ke *LAAELAAH* ki hai bina maqsade husain.
Seerat pe chal husain ki ay be amal khateeb.
Tujh ko bhi bakhsh dega khuda maqsade husain.
Saahil pe sheh se le ke raza ghaazi jab chala.
Parcham ke saath le ke gaya maqsade husain.
Qatra har ayk gardne sarwar ke khoon ka.
Gir kar zamee'n pe likhta gaya maqsade husain.
Rehta hai woh nabi ki shariat pe gaamzan.
Karta hai jo hamesha ada maqsade husain.
Haqdaare inteqame shahedee'n ka qaul hai.
Hargiz na hone dunga fana maqsade husain.
Seecha hai apne khoo'n se mohammad ki aal ne.
Tab baaghe deen me hai khila maqsade husain.
Hai maqsade yazeed jahannam ka raasta.
Jannat ka de raha hai pata maqsade husain.
Har daur me har ayk yazeedi ke qalb par.
Nashtar hamesha ban ke chala maqsade husain.
Hota hai nafs jab kabhi Navshad ka aleel.
Deta hai tab use bhi shifa maqsade husain.