Navshad Bijani
Nikaala jis ghadi zinda'n se laasha maula kaazim ka.
Kaleeja zehr se tha paara paara maula kaazim ka.
Sada rone ki aati thi zameeno aasma'n se jab.
Pule baghdaad se uththa janaaza maula qazim ka.
Mere mazloom bete par hai dhaaya zulm zaalim ne.
Labo'n par faatema ke hai yeh nauha maula kaazim ka.
Sitamgar taaziyane maarte the qaydkhaane me.
Badan majrooho laaghar ho gaya tha maula kaazim ka.
Girebaa'n chaak hai maula raza ka bhi yateemi se.
Utha hai aaj unke sar se saaya maula kaazim ka.
Azaadaro sar apna peet kar maatam karo mil kar.
imaame waqt ko do aaj pura maula kaazim ka.
Khade bhi ho na paate aur na aaram kar paate.
Tha aysa tang haaye qaydkhaana maula kaazim ka
Hai guzre aap ke 14 baras us qaydkhaane me.
Bahut dushwar tha zinda'n me jeena maula kaazim ka.
Labo'n par hai mere har dam vazeefa maula kaazim ka.
Dua me bhi mai mai deta hu vaseela maula kaazim ka.
Karam Navshad inse maango yeh baabul havaaij hain.
Milega bilyaqee'n tum ko bhi sadqa maula kaazim ka.
Navshad Bijani
+46 704 852 187