1
Kalam by Sarkil Nagri
SARKIL RAZA ALI ABBAS
KYA LIKHU TAREEKH ME KIS KIS JAGHA SALMAN HAI'N
IBTEDAE'N JANATI HAI INTEHA SALMAN HAI'N
BA ZUBAN E FIZZA YE SARKIL SUNA TAREEKH NE
POOCHHIYE ZEHRA BATAAYE'NGI KE KEYA SALMAN HAI'N
Kalam by Sarkil Nagri
SARKIL RAZA ALI ABBAS
2
Kalaam by Navshad Bijani
Khum ke mayda'n me khushi se jhoomta salmaan hai.
Haidari naara lagata baaraha salmaan hai.
Ayk jaysa har sahabi ka nahi hai martaba.
Dekhlo tum shaamile aale aba salmaan hai.
Jo ghuroor ehle arab ka paara paara kar gaya.
Woh fakat mulke ajam iraan ka salmaan hai.
Yeh pata chal jaayega imaan ke darjaat se.
Darmiya'n ashaab ke ba-martaba salmaan hai.
Dars pahele de gaye imraa'n takayya ka hame.
Aur aysa karne vaala dusra salmaan hai.
Leke jab aaye sahaaba fat'he khaybar ki khabar.
Bole ahmad ab to jannat legaya salmaan hai.
Maan le tu ay munaafiq isko roohaani hakeem.
Murtaza ke buzghz ki behtar dava salmaan hai.
Ehle baatil ke liye eilaan hai Navshad ka.
Poochhiye zehra bataaegi ke kya salmaan hai
Kalaam by Navshad Bijani