Bigde huve naseeb banaate haiN panjetan.

( By Naushad Bijani, Jafar Dehraduni, Masoom Najaf Maroofi, Muntazir sahab, Sibtain Sayyadi, Masoom Haidari, Kaifi Kalkatwi. Hasnain maroofi, Qambar kalkatvi. Imran Sandhawali, Mir Bober Ali, Chaman Rehmati, Zehra Naqvi, Sarkil Nagri, Haider Sirsiwi, Hyder Nagri.

in BazmeShoara )
  • Name:
  • Section:
    BazmeShoara
  • Number of pages:
  • Date Added:
    12/02/2020
Bigde huve naseeb banaate haiN panjetan.

Bzme shoara
Tarhi misra
Bigde huve naseeb banaate haiN panjetan.
Misra BY: janab Muntazir sahab

Shoara-e-keram

Naushad Bijani, Jafar Dehraduni, Masoom Najaf Maroofi, Muntazir sahab, Sibtain Sayyadi, Masoom Haidari, Kaifi Kalkatwi. Hasnain maroofi, Qambar kalkatvi. Imran Sandhawali, Mir Bober Ali, Chaman Rehmati, Zehra Naqvi, Sarkil Nagri, Haider Sirsiwi, Haydar Nagri

Farshe aza bichaao to aate haiN panjetan.
AankhoN se apni ashk bahaate haiN panjetan.
 
De kar duaaeN khoob azaadare shaah ke.
Bigde huve naseeb banate haiN panjetan.
 
FaakoN me khud ko rehna pade gham nahi magar.
BhookoN ko pahele khaana khilaate haiN panjetan.
 
Islaam ki baka ke liye deke apni jaan.
Raahe khuda me ghar ko lutaate haiN panjetan.
 
Saaya alam ka shiyoN pe mehsher me kar ke fir.
Kausar ke jaam unko pilaate haiN panjetan.
 
Toofaan me bhi zikr kare inka koi to.
Kashti ko uski paar lagaate haiN panjetan.
 
Jibreel ko bhi lagta hai hai yaksa har ayk noor.
Chaadar ke neeche jis ghadi aate haiN panjetan.
 
Navshad ishqe aale nabi me jo mar gaya.
Uski lahad me sham'a jalaate haiN panjetan.
Naushad Bijani



 
Tute dilo'n ki aas bandhate hain Panjetan
Bigde huwe naseeb banate hain Panjetan
                
Uljha agar kabhi bhi kisi mas'ale me mai
Mushkil ka meri hal bhi sujhate hain Panjetan
       
Dunya ki aandhiyoN se nahi lagta dar mujhe.
Kashti ko meri paar lagate'n hain Panjetan
             
Tu apni soch sheikh musibat ke waqt me
Ham ko to her bala se bachate hain Panjetan
                  
Ulfat nabi aur aale nabi ki sada rahe
Baccho'n ko ham yu'n yaad karate hain Panjetan
                 
Rozi bhi ho halal zehan bhi ho paak saaf
Tab jaake aise dil me samate hain Panjetan
               
Jafar na dekhi aesi Sakhawat khuda kasam
Qatil ko apne sheer pilaate hain Panjetan
 Jafar Dehraduni
 
 
 
 
 
 
 
 
1. Insaniyat ka paath padate haiN Panjatan 
Allah ko bashar se milate haiN Panjatan 
                                       
Zulmat ko ham se door bhagate haiN Panjatan 
Khulde bareeN ki raah dekhate haiN Panjatan 
 
2. Farshe ghame Husain bichhawo kholus se 
Khulde bareeN ko chhod ke aate haiN Panjatan 
 
3. Man maat ki sanad liye dunya se jo gaye 
Kausar ka jaam unko pilate haiN Panjatan 
 
4. Rahib ki shakl me kabhi fitrus ki shakl me 
Bigde huwe naseeb banate haiN Panjatan 
 
5. Khud bhuke rahke auroN ko dete haiN rotiyaN 
Is tarh apni bhook mitate haiN Panjatan 
 
6. Apni zabaaN pe rakhna NAJAF Panjatan ka naam 
Har hadese se Hamko bachate haiN Panjatan 
 Masoom Najaf Maroofi 
 
 
   
 
 
 
*AADAAB ZINDAGI KE SIKHATE.N HE.N PANJETAN*
 
*GUMRAAHIYO.N SE HUM KO BACHATE.N HE.N PANJETAN*
 
*AADAM KI TAUBA ,NOOH KI KASHTI BHI HE GAWAAH*
 
*BIGDA HUVA NASEEB BANATE HE PANJETAN* 
Muntazir sahab.
 
 
 
 
 
 
Zalim ke shar se dee'N ko bachate HaiN panjetan
Rahe khuda me sar ko katate HaiN panjetan
 
Khush hoke par ke milte hi Fitrus ne ye kaha
Bigde huve Naseeb banaate HaiN panjetan
 
Karte na Ehteraam jo khud walidain ka
Unko nazar se apni giraate HaiN panjatan
 
Taaza hai Gham abhi bhi Hussaine ghareeb ka
Jald Aake Farshe gham pe bathate HaiN panjatan
 
Saj kar na aawo tum kabhi majalis me dosto
Banke gareeb farsh pe Aate HaiN panjetan
 
Unki Nazar me Azmate Quraan dekhiye
Neza pe jake padke sunate HaiN panjetan
 
Dar par bulaake taare ko Saabit ye kardiya
Ye do Jahaa'n ko khud se chalaate hain panjatan
 
"Sibtain" karke pani se iftaar baakhuda
Bhoko'n ko apni roti khilate HaiN panjetan
Sibtain Sayyadi
 
 
 
 
 
 
Rashke falak zameeN ko banate hain panjtan
Lo chaadar e botool me aate hain panjtan
 
TeeroN se, barchiyoN se na khanjar na teg se
Chaadar se dushmanoN ko haraate haiN panjtan
 
inke dar e Azeem pe Aakar to dekhiye
Aaeena e hayaat sajaate haiN panjtan
 
Apni kaneez ko bhi ye kahte nahi kaneez
izzat se naam leke bulate haiN panjtan
 
Allah karne lagta hai Qur,aaN me tazkera
Fizza ko us maqaam pe laate haiN panjtan
 
Uski jagah sewaaye jahannam kahiN nahi
Mahfil se apni jisko uthaate haiN panjtan
 
Aadam ne ilm paya to be saakhta kaha
Bigde hue naseeb banate haiN panjtan
 
Zainab, Husain, Qasim o Akbar o Sheer khwar
Soorat me sab k sab Nazar Aate haiN panjtan
 
Thokar me apni rakhte hain ham takht o taaj ko
itna hame Ameer banate haiN panjtan
 
MASOOM apne ghar me hadees e kesa padho
 
Sunte haiN iske padhne se aate haiN panjtan
Masoom Haidari Maroofi
 
 
 
 
 
 
Hamd e khuda mei'n sher sunaate hai'n panjetan
Khaliq ki mehfilo'n ko sajaate hai'n panjetan
 
Khaliq ki kibriyayi ke mazder hai'n bas yehi
You'nhi nahi dilo'n mei'n samaate hai'n panjetan
 
Sabr o shuja se parde se amn o jihaad se
Rab ki riza pe sar ko jhukaate hai'n panjetan
 
Raazi khuda bhi hota hai inki adao'n per
Wada khuda se aese nibhaate hai'n panjetan
 
Imaa'n ke daswe'n darje pe salmaa'n bhi aa gaye
Rutba khuda se aesa dilaate hai'n panjetan
 
Jab bhi padi lahoo ki zaroorat hai deen ko
Be khauf apne khoo'n mei'n nahaate hai'n panjetan
 
Raahib ne Hur ne Qumbar o Fizza ne hai kaha
Bigde huwe naseeb banaate hai'n panjetan
 
Kaifi har ik qadam pe zamaane ki ba-raha
Insaniyat ko raah dikhaate hai'n panjetan
Kaifi Kalkatwi.
 
 
 
 
 
Jab bazm e iftekhaar me aate hain panjatan 
Zehno.n ko kaardaar banaate hain panjatan
 
Deene khuda pa kar ke fida apni jaan ko 
Aaeena e hayaat dikhaate hain panjatan  
Hasnain maroofi
 
 
 
 
 
 
 
Bande ko kibriya se milate hain panjetan.
Qatre ko ek darya banate hain panjeta.
 
Aaye jo farshe gham me aameero gharib to.
Chote bade ka farq mitate hain panjetan.
 
Makhlooq e kibriya ki khuda ke jahaan me.
Mushkil kushaee ke liye aate hain panjetan.
 
Banke faqeer aaye jo dar pe falak nashi'n.
Roti bhi apni unko khilate hain panjetan.
 
Rahib ho hur ho qumber o fitrus ho ya koi.
Bigde naseeb sab ke banate hain panjetan.
Qambar kalkatvi.
 
 
 
 
 
 
 
Paigham e haq jhaaN ko sunaate haiN panjetan 
Haqaaniyat ki rah dikhaate haiN panjetan 
 
Inka wasilaa de ke dua rab se mangiye
Bigde huve naseeb banaate haiN panjetan 
Imran Sandhawali
 
 
 
 
 
 
*YE MOJIZA ZAMEE PE DIKHAATE HAIN PANJATAN*
*ZARRON KO AAFTAAB BANAATE HAIN PANJATAN*
 
*SAR APNA UNKE DAR PE JHUKAYE AGAR KOYI*
*RUTBA JAHAA'N ME USKA BADHAATE HAIN PANJATAN*
 
*USKO LAGAAKE SEENE SE ROOMAAL BAANDHKAR*
*QISMAT BHI HUR KI PAL ME JAGAATE HAIN PANJATAN*
 
*GAR MUSHKILON ME JAB BHI BULAAYE KOYI UNEY*
*USKI MADAD KO GAIB SE AATE HAIN PANJATAN*
 
*DEKHI NA HOGI AISI SAQAAWAT JAHAAN ME*
*QAATIL KO APNE DOODH PILAATE HAIN PANJATAN*
 
*AAJAYE JAB BHI WAQT MUSEEBAT KA DEEN PAR*
*GHAR KO LUTAAKE USKO BACHAATE HAIN PANJATAN*
 
*SAR KATNE KI BHI FIKR NAHIN HOTI HAI UNEY*
*QUR'AAN NAIZE PAR BHI SUNAATE HAIN PANJATAN*
 
*TUKDE WO CHAND KE KAREY SOORAJ KO ROB SE*
*WAAPAS ISHAARA KARKE BULAATE HAIN PANJATAN*
 
*KARTE NAHIN PASAND KISI KO AGAR TOH PHIR*
*MAHFIL SE APNI USKO UTHAATE HAIN PANJATAN*
 
*MARZI KHUDA NE DEDI UNEY SAARI ISLIYE*
*KOUNAIN KA NIZAAM CHALAATE HAIN PANJATAN*
 
*INKI FAZEELATON ME HAI CHOTI SI EK MISAAL*
*ROOHUL AMEE'N KO DAR PE RUKAATE HAIN PANJATAN*
 
*CHALJAAYEGA PATA TUMHEY RAAHEB KO DEKHLO*
*" BIGDE HUVE NASEEB BANAATE HAIN PANJATAN "*
 
*INKI KARAAMATON KA KAREY ZIKR KYA BOBER*
*MURDE KO JAB KE PAL ME JILAATE HAIN PANHATAN*
MIR BOBER ALI
 
 
 
 
 
 
*Soya hova Zamir _Jagate hain_ PANJITAN*
*Rasta dekha ke Haq ka _Bachate hain_ PANJITAN*
 
*Choukhat pe inki sar ko jhuka'oun na kyoun CHAMAN*
*Bigde hove Naseeb _Banate hain_ PANJITAN*
 
*Dene Shikast Jhoot'oun ko _Jate hain_ PANJITAN*
*Sacche hain koun sab ko _Batate hain_ PANJITAN*
 
*Kehne lage Nassarah ye Maidaa'n se bhaag kar,*
*Karne Mubahile ko jo _Aaate hain_ PANJITAN*
CHAMAN REHMATHI
 
 
 
 
 
 
 
Kya ekhtiyar h ye btate hain panjetan
thokar se apni murde jilate hain panjetan
 
Kashti ko meri dr kisi tufaan ka nhi
Beda mera jo paar lgate hain panjetan
 
Likhkha hua h bugz ka chashma hta k dekh
Bigde hue naseeb bnate hain panjetan
 
Jis ki zubaN pa aaye musibat mai ya ali
Uski madad k waste aate hain panjetan
 
Rakhta h jo khayal sda waldain ka
Baage jina me usko bulate hain panjetan
 
Jo kr raha h dil se azadariye husain
Us ko musibato se bchate hain panjetan
 
Munkir hai jo wilaye ali or batool ka
Bs bazm se usi ko utahate hain panjetan
 
Hain bas inhi ke hath me allah ka nizam 
jannat m jisko chahe bulate hain panjetan
 
Jab jab bhi mere ghar mai hadis e kisa hui
Mehman banke ghr mere aate hain panjetan
 
Zehra ki Kya bisaat jo ek harf bhi likhe 
Wo likhti hu jo mujhko btate hain panjetan
Zehra Naqvi


 
IMDAAD KARNE KHULD SE AATE HAI PANJITAN
GIRTE HUWE BASHAR KO UTHAATE HAIN PANJETAN
 
TAFSEER KAR RAHA HU MAI IN PAANCH NAAM KI
BANDO KO APNE RAB SE MILAATE HAIN PANJETAN
 
MUSHKIL ME DOOBTI NAHIN KASHTI MERE KABHI
USKO  BAWAR SE PAAR LAAGATE HAI PANJETAN
 
FARSHE AZA ME ITNI KASHISH HAI KE KYA KAHU
BAGHE JINA SE GETI PE AATE HAIN PANJETAN
 
TAFSEER KAR KE AAYTE KUR,AA KI DAM B DAM
KYA HAI KHUDA YE SAB KO BATATE HAIN PANJETAN
 
MAZLOOMO KA N SATH KABHI CHODNA YAHA
PAIGHAM KARBALA KA SUNAATE HAIN PANJETAN
 
BUGHZ O HASAD  KO DIL SE NIKALO AY DOSTO
PAKIZA QALB ME HI SAMATE HAIN PANJETAN
 
MAYOOS TUM NA HONA  AY SARKIL ZAMANE ME
BIGDE HUWE NASEEB BANNATE HAIN PANJETAN
Sarkil Nagri
9949104080


 
Sajde mein apne Sar ko katate hai panjetan
Khalik ki ye riza hai batate hai panjetan
 
Kitna hai ishq Rab se batate hai panjetan
Noke sina pa Qura`n sunate hai panjetan
 
Har ek bashar ki dekh lo bharte hai jholiyan
Badle mein usse aansu hi paate hai panjetan
 
Baitho aza ke Farsh pe aake Adab ke sath
Farsh e Gham e Hussain pe Aate hai panjetan
 
Jis ghar mein barpa hoti hai majlis hussain ki
Aise maqan ko khuld banate hai panjetan
 
Hurr janab e hussain ye kehta hua chala
Bigde huye Naseeb banate hai panjetan
 
Tatheer mein hi rehta hai us waqt khuda ka noor
Ek Ja simat ke jis ghadi aate hai panjetan
 
Sare jahan mein dekh lo qura`n ki shakl mein
Ilmo adab ka dars padhate hai panjetan
 
Dil mein basa ke apne Sada  karbala chalo
Ye haq ka rasta hai dikhate hai panjetan
 
Haider wila e moula ali jinke dil mein ho
Khuld e bari mein unko bulate hai panjetan
Haider Sirsiwi


 
Ishq e khuda me jeena sikhaate hai'n  panjetan..
Phir usko aftab banate hai'n panjetan..
 
Mushkil me Jo bhi leta hai mushkil kusha ka naam..
Imdad karne uski khud aate hai panjetan..
 
Raah e khuda me jaan lutane ke waste..
Qatil ko apne khud hi jagate hai'n panjetan..
 
Majlis ka waqt hone ka rehta hai  intezar..
Farshe aza bichhao to aate hain panjetan..
 
Hyder Tu karle sajda dar e ahlebaith par..
Bighde huwe naseeb banate hai'n panjetan..
Abbas Hyder Nagri

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP