Naushad Bijani
Khush hai do aalam ka payghambar ali aane ko hai.
ik naya kaabe me hoga dar ali aane ko hai.
Lag raha tha tervi ki rat ko chaaro taraf.
Failti hai noor ki chaadar ali aane ko hai.
Khaak ka har ayk but sehma huva hai is liye.
Sub'h ko hoga woh khaakistar ali aane ko hai.
Dushmane ehmad ko abtar hone ka khatra hai ab.
Is liye ke saakiye kavsar ali aane ko hai
Ay musalmaano tamanna ab alam ki mat karo.
kheechne ko ab dare khibar ali aane ko hai
Khuld me or arsh par hooro malak ke darmya'n.
Goonjta hai naara e haidar ali aane ko hai
Keh utha murda janaaze me, milegi ab hayaat
Marne ab paao'n se thokar ali aane ko hai
Har taraf man kunto maula ki sada goonjegi ab.
Aaj khum me bar sare mimbar ali aane ko hai.
Rab ne daavat di nabi ko keh ke yu'n meraaj par.
Aaj to arshe moalla par ali aane ko hai.
Ay farishto aake denge woh savaalo ke javaab.
Turbate *Navshad* ke andar ali aane ko hai.
Naushad Bijani
+46 704 852 187