Naushad Bijani
Malaaik khuld se phoolo'n ka lekar haar aate hai'n.
Ali ka zikr karne meesame tammar aate hai'n.
Sada halmin ki sunkar sheh ke haatho par ali asghar.
Zaba'n se todne ab zulm ki talwaar aate hai'n.
Tasawwur bhaagne ka unke baare me karu kayse.
Ali maydaa'n me ban kar aahni deewaar aate hai"n.
Sakhi aysa hai ke yeh jang ke maydaa'n me bhi de de.
Ali se maangne jab ashkiya talwaar aate hai'n.
Dilo'n ko thaam kar ab saatso kursi nashi'n baythe
Ke ab mimbar ki jaanib aabide beemaar aate hai'n.
Bhala deewaare kaaba me naya dar kyu nahi hoga?
Paye imdaade Ahmat haidare karra aate hai'n.
Rawa ghaazi ko dekha jaanibe darya to shor uttha.
Ke yeh abbas hai ya haidare karrar aate hai'n.?
Kaha zainab ne aavo nehr se ab jald ay ghaazi.
Jalaane ke liye khaymo ko ab aghyaar aate hai'n.
Taraai chheenege Navshad yeh bacche sitamgar se
ke ab maydaa'n me sibte jaafare tayyar aate hai'n.
Naushad Bijani
+46 704 852 187