Jange Khaybar

( By Maddahe aale aba. Ashiq, Navshad, Jaafar.

in MaddaeAaleAba )
  • Name:
  • Section:
    MaddaeAaleAba
  • Number of pages:
  • Date Added:
    06/02/2020
Jange Khaybar

1. Ashiq Mumtazir
Wo Haider Aap ne Dikhlaye Jauhar Jung e Khaiber mein.
Uthaaya Ungliyo'n pa Baab e Khaiber Jung e Khaibar mein.
 
Nabi ne Di Sada Haider Yaha'n Jaldi Chale Aao.
Na Ho paya Abhi Tak Maarka Sar Jung e khaibar Mein.
 
Ali Ne Nisf kardi Soch ke Yu'n waar ki Quwwat.
Kahi'n Jibreel Ho Jayei'n Na Be Par Jung e Khaibar Mein.
 
Kahie'n  Masoom par Hamla Koi Masoom karta hai.
Kaha Kis Ne Kate Jibreel ke Par Jung e khaibar Mein.
 
Suna jab Deen ke Dushman ne ye to Hosh kho Baitha.
Muqabil Aa gaye hain Aaj Haider Jung e Khaibar Mein.
 
Jo Bhage Dekh ke Marhab ko to Buzar Lage Kehne.
O'had ka phir gaya Nazro'n mein Manzar Jung e Khaibar mein.
 
Bhagodo kat baithe Ungliya'n Dandaan se Us Dum.
ALi Ne Morcha Jis Dum kiya Sar Jung e Khaibar Mein.
Ashiq Mumtazir

 






2. Jaafar ali Jaafar
Ajab andaz k dikhte the tewar junge khaiber me
Palat k bhaga teen roz lashkar junge khaiber me
 
Sipahi kahte the bhage hai'n teeno chorke k maida'n 
Khalifa kahte the bhaga hai lashkar junge khaiber me
 
Kaha jab mustufa ne kal alam mai mard ko doonga
Kai ne shab guzari taare ginkar junge khaiber me
 
Kai chehre bigad k reh gaye jab ho gaya ela'n
Pukare mustufa aa jao haider junge khaiber me
 
Ishara dekhkar gardish me sitara palat aaya
Alam ko gaadhna chahte hai haider junge khaiber me
 
Khudaya Mujh pe hi gaadein Alam Dee'n ka Ali Maula.
Tha Masghul e Dua har ek Patthar Jung e Khaibar mein.
 
Sadae'n goonjti thi nara-e-takbeer ki har soo
Ukhada jab Ali ne aahini dar junge khaiber me
 
Chali jo zulfiqare haidari jibreel ye bole 
bachao ya Ali katte hai'n shahper junge khaiber me
 
Sada jibreel ne di la fata illa Ali ki jab
Hua ghalib khuda ka sher Jafar junge khaiber me
Jaafar ali Jaafar
 








3. Navshad Bijani
Kaha naade ali ehmad ne padkar jange khaibar me.
Meri imdaad ko aajavo haidar jange khaydar me.
 
Munafiq khwaahishe parcham me jaaga raat bhar lekin.
Pukare mustafa aajaao haidar jange khaibar me.
 
Mohammad mard keh kar haath me jisko alam de de.
Bhala woh shakhs kyu'n pehne ga bakhtar jange khaibar me.
 
Na hargiz ladne deti aaj woh marhab ko haidar se.
Agar hoti  vaha'n marhab ki maadar jange khaibar me.
 
Suna *SUMMAYTO UMMI HAYDARA* jis waqt marhab ne.
To fauran chhaa gaya dar uske rukh par jange khaibar me.
 
Ali ne gaada jis patthar pe maydaa'n me alam apna.
Khushi  se jhoom uttha woh bhi patthar jange khaibar me.
 
Chali jab zulfiqaare haidari marhab ke sar par to.
Huve hai uske do tukde baraabar jange khaibar me
 
Zamee'n taqserm do tukdo me ho jaati kasam rab ki.
Na hote darmiya'n jibreel ke par jange khaybar me.
 
Hai misle pul ali ke haath me khaibar ka darvaaza.
Yeh manzar dekhkar hayra'n hai lashkar jange khaibar me.
 
Gira chaalis gaz tak door tab khaybar ka darvaaza.
Ali ne feka jab usko utha kar jange khaibar me.
 
Khushi se jhoomte hai dekhiye salmaan or buzar.
Maye ishqe ali ke jaam pi kar jange khaibar me.
 
Woh qable fat'h peechhe mud ke kayse dekh le Navshaad.
Ke jiske sar pe ho daste payambar jange khaybar me.
Navshad Bijani
 
 
 
 
Navshad Bijani
Bhagoda jaa'n bacha kar bhag uttha fenk kar parcham.
Use ran me nazar jab aaya antar jange khaibar me
 
Kuchh aysa dar tha marhab ka ke jab woh saas leta to.
Musalmaa'n bhaagte the dum dabaakar jange khaibar me.
 
Bhagodo ki thi woh raftaar ke ghoda bhi kehta tha.
Ke dekho  mujh se bhi aage hai khacchar jange khaybar me.
 
Woh qable fat'h peechhe mud ke kayse dekh le Navshaad.
Ke jiske sar pe ho daste payambar jange khaybar me.
Navshad Bijani

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Jange Khaybar ( By Maddahe aale aba. Ashiq, Navshad, Jaafar. in MaddaeAaleAba )

06/02/2020

Pukare mustafa aajaao haidar jange khaibar me.
VIEW WRITE UP