Khoob ummat ne diya ajre risaalat baba

( By 1-Mir Bober Ali, 2-Sibtain sayyadi, 3-Jaafar Ali Dehraduni, 4- Paikar Jalalpuri, 5-Naushad Bijani,Kumail Nagri

in BazmeShoara )
  • Name:
  • Section:
    BazmeShoara
  • Number of pages:
    https://www.youtube.com/embed/ZY5Yv67wR90
  • Date Added:
    24/01/2020
Khoob ummat ne diya ajre risaalat baba

BAZM-E-SHOARA

Misra baraae Nauha
 
Misra: Khoob ummat ne diya ajre risaalat baba
 
Misra by: Janab Altaf Maroofi sahab
 
 
 
1
Ho Bayaa’n Kaise Jo Guzri hai Museebat Baba
Zulm Se Hogayi Mohsin ki Shahaadat Baba
 
Mujko Rone Na Diya Aap Pe Makkaaron Ne
Aap ke Baad Sataaya hai Sitamgaaron Ne
Ki hai In Zalimon Ne Humse Baghaawat Baba
 
Cheen kar Baage Fidak Zulm kiya Muztar ko
Baandhkar Le Gaye Rassi me Mere Showhar Ko
Khoob Ummat Ne Diya Ajre Risaalat Baba
 
Aag bhi Ghar ko Mere Aake Lagaaye Zalim
Mujpe Jalta Huva Darwaza Giraaye Zalim
Aagayi Kaisi Mere Sar Pe Ye Aafat Baba
 
Kah Nahin Paayi Kisi ko bhi Na Mai Apna Gham
Phasliyan Tootgayin Mujpe Huva Aaisa Sitam
Kya Kahun Karti hun Mushkil Se Ibaadat Baba
 
Thaam Kar Dil ko Mere Rahna hai Mai Rahlungi
Har Museebat ko Bade Sabr Se Mai Sahlungi
Taake is Deen ki Hojaaye Hifaazat Baba
 
Apni Taqdeer Ne Ashkon ki Rawani Dekhi
Choti si Umr me hi Gum ki Kahani Dekhi
Aap ke Baad Sahi Saari Azeeyat Baba
 
Roke Kahti Thin Bober Deen Ke Sultan Rahey
Mere Bachhon Ka Ab Allah Nigehbaan Rahey
Zindagi Se Mujhe Leni hai Ijaazat Baba
Mir Bober Ali
Bober Nawab, Madrasi 
 



2
Sunlo karthi hun bayan apni museebat baba
Pehelu thame huwe karthi hu ibadat baba
 
Apke baad mere ghar ko jala dala hai
Khoob ummat ne diya ajre risaalat baba
 
Jaltha darwaza giraya hai mere pehelu par
Paai hai kookh me mohsin ne sahadat baba
 
Ab salamat na rahi ek bhi phasli meri
Saans lethi hu tho hothi hai Aziyat baba
 
Qabre ahmad pe pokari ye tadap kar Zahera
Guzri darbaar me hai mujpe qayamat baba
 
Haaye darbaar me bulwa ke sitamgaro ne
Ek yateema ko hai di aur azeeyat baba
 
Roke Kehti thi ye sibtain nabi ki dukhtar
Aap Hote toh meri Dekte Gurbat baba
Sibtain sayyadi
 



3
Aapke baad sahi maine aziyat baba
Her musibat per mili taza musibat baba
 
Kalmagoh tere satane ke liye aaye hain
Bekhata mujhko rulane ke liye aaye hain
Bhool baithe hain musalma'n meri azmat baba
 
Mujh se chheena hai fidaq deen ke gaddaro'n ne
Dar jalaya hai mera haye sitamgaro'n ne
Ho gayi kokh me mohsin ki shahadat baba
 
Le gaye rassi me jakde huwe haider ko laee'n 
Zulm ye dekhkar rote the Falak aur Zamee'n
Aapki beti hai aur Aalam-e-gurbat baba
 
Mai jawani me zaeefa si nazar aati hoo'n
Tujh pe Roti hoo'n na do pal ko chain paati hoo'n
Din bhi ho jaaye siyah dekh musibat baba
 
Jis jagah jakar tasalli mujhe kuch hoti thi
Wo shajar kaat diya main jaha'n per roti thi
Mere rone se bhi zalim ko thi dehshat baba
 
Mujhko be-deeno ne itna hai sataya Haye
Mere rone per bhi pehra hai lagaya Haye
Khoob ummat ne diya ajre risalat baba
 
Giriyakun baba pe din raat thi Zehra Jafar
Bain karti thi yahi qabr pe  Bibi aksar
Main hoo'n tanhai hai aur aapki turbat baba
Jaafar Ali Dehraduni
 



4
ہو بیاں کیسے بھلا میری مصیبت بابا 
مجھ پہ گزری ہے کٸی بار قیامت بابا 
 
گھر جلایا ہے مرا بابا تری امت نے 
مجھ پہ دروازہ گرایا ہے تری امت نے 
میرے محسن کی ہوٸی ہاٸے شہادت بابا 
 
ہو گیا اب میرا پہلو بھی شکستہ بابا 
لےکےچلتی ہوں عصا کا میں سہارا بابا
سانس لیتی ہوں تو ہوتی ہے اذیت بابا
 
ظلم ایسا ہوا بالوں کو سفیدی آٸی 
مجھ پہ اٹھارہ برس میں ہی ضعیفی آٸی 
آپ سے آٸی ہوں کرنے میں شکایت بابا
 
دشمنی آلِ پیمبر سے نبھاتے ہی رہے 
جب تلک زندہ رہی مجھکو رولاتے ہی رہے 
میں کروں کیسے بیاں اپنی مصیبت بابا 
 
پھاڑ ڈالی تیری تحریر ستم گاروں نے 
مجھ سے مانگی ہے گواہی بھی مسلمانوں نے 
خوب امت نے دیا اجرِ رسالت بابا 
 
یاد کر کر کے پدر کو ہیں یوں روتیں پیکر 
خون آنکھوں سے ہیں دن رات بہاتیں پیکر 
بین زہرا کے ہیں سن لو میری غربت بابا
 پیکر جلالپوری
Paikar Jalalpuri

 


5
Roke zehra ne kaha haay re ghurbat baaba.
Mujhpe dhaati hai sitam aap ki ummat baaba.
 
Chayn lene nahi dete yeh sitamgar mujhko.
Zaalimo ne hai meri chheen li raahat baaba
 
Ahle kiN meri yateemi pe taras khaaye bina.
Mujhko dete haiN shabo roz aziyyat baaba.
 
Kayse khaamosh rahe hijre padar me beti.
Ghut' ta hai dam nahi rone ki ijaazat baaba.
 
Shabe taareek woh ho jaaye agar din pe pade.
Haul-naak aysi padi mujh pe museebat baaba.
 
Mujh pe jalta huva zaalim ne giraya jab dar.
Ho gai tab mere mohsin ki shahaadat baaba.
 
Zarbe dar se hai mera ho gaya pahelu zakhmi.
Aur pasli bhi na reh paayi salaamat baaba.
 
Rusva ummat ne mujhe bar sare darbaar kiya.
Khoob ummat ne diya ajre reisaalat baaba.
 
Haq mera chheen ke mujh se hi gavaahi ki talab
Roti hai aaj talak mujh pe sadaaqat baaba.
 
Nawha Nawshad se sunti hu mai jab dard bhara
Yaad tab aati hai mujhko meri ghurbat baaba
Naushad Bijani
 


6
Bain Zahra ke the hai kaisi musibat baba. 
Zulm dhati hai bohat aap ki ummat baba.
 
 Haay jalta huwa darwaza gira kar mujh par
Qoob ummat ne diya ajre risalat baba
 
Ab to marne ki duaa mangti hu shaam o sahar
Zulm sehne ki nahi ab rahi taqat baba.
 
 Umr atthara bars. Aur ye meri haalat hai
Krti hu waaliyo waris se wasiyyat baba
 
Haq mera cheen ke jhutlaayi gawahi meri
Kazibo'n ko na thi manzoor sadaqat baba.
 
 Ek yateema ko bulayaa gaya darbaar me bhi. 
Kitni be rehm hai duniya ki adalat baba.
 
 Kabhi haidar kabhi hasnain ki surat aksar
Meri is haal pe roti hai imaamat baba.
 
 Bas yehi sonch ke aata hai mere moo'h ko jigar
Kaise hogi mere bacho ki hifazat baba
 
PasliyA'n tootne kar Dard liye pehlu me
Aap ke Baad uthati hu'n aziyyat baba.
 
 Pasliyaa'n tod ke zalim ne tamache maare
Zulm ki kar nahi paungi  vazahat baba.
 
 Pasliyaa'n tooti hai hatho'n me waram gaal hai zard.
Ab nahi aap ki beti hai salamat baba.
 
Aalame naza'e me nauha tha ye Zahra ka kumail
Har qadam par thi tere baad qayamat baba.
Kumail Nagri

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Khoob ummat ne diya ajre risaalat baba ( By 1-Mir Bober Ali, 2-Sibtain sayyadi, 3-Jaafar Ali Dehraduni, 4- Paikar Jalalpuri, 5-Naushad Bijani,Kumail Nagri in BazmeShoara )

24/01/2020

Khoob ummat ne diya ajre risaalat baba
VIEW WRITE UP