Abuzar aur qambar

( By Maddahe aale aba

in Mushyera )
  • Name:
  • Section:
    Mushyera
  • Number of pages:
  • Date Added:
    06/01/2019
Abuzar aur qambar

Janab Ashiq Muntazir sahab
Yu'n ILm o Fikr Mein Behtar hain Bu Zar o Qa'nbar.
Jo Baab e ILm ke Naukar hain Bu Zar o Qa'nbar.
 
Agar Muneer Hain Salman Arsh e Haider ke.
Tau keh Du'n Uske Ye Akhtar hain Bu Zar o Qa'nbar.
 
Bata Diya hai Zamane ko Kulle Eimaa'n Ne.
Fazilato'n ke Samandar hain Bu Zar o Qa'nbar.
 
koi Mawazna Inka kisi se ho Kaise.
Khuda ke Deen ke Rehbar hain Bu Zar o Qa'nbar.
 
Samajh rahi  hai Tu kamzor Inko Eei'n Duniya.
Baqaul e Murtaza Lashkar hain Bu Zar o Qa'nbar.
 
Ye Fauj e Kufr se Mar'oob ho nahi'n Sakte.
ALI ke Sher e Ghazanfar hain Bu Zar o Qa'nbar.
 
Nazar Milaye koi Inse Aake  Hum Janei'n.
ALi  ke Saath Sara Sar hain Bu Zar o Qa'nbar.
 
Hasan Husain bhi Ungli Pakad ke Chalte hain.
Wo Nek Khooei ke Paikar hain Bu Zar o Qa'nbar.
 
Chacha kaha Inhei'n Zehra Ke Maah paaro'n Ne.
Fazilato'n ka wo Saagar hain Bu Zar o Qa'nbar.
 
Ye Kaam dete hain Anjam Sidq DIL se Sadaa.
Riyaa o Makr se Hat kar Bu Zar o Qa'nbar.
 
Musibato'n Mein Madad Mangta hai Dee'n Inse.
Hai Rabb ka Fazl Tawanggar hain Bu Zar o Qa'nbar.
 
Hai Faizyaab Inhei'n ke hi Faiz se Aashiq.
Shaur o Fikr ke Daftar hain Bu Zar o Qa'nbar.
Janab Ashiq Muntazir sahab
 





Janab Orooj Gopalpuri sahab
Soroore faatahe khaiber hain buzaro W amber
Sokune qalbe payamber hain buzaro quamber
 
Hain haq shanaas saqeefa se door rahte hain 
Nabi ke bazm ke mimber hain buzaro quamber 
 
Ho kaare deen ya ebaadat ho ya ataa -at ho
Her ek mohaaz per behter hain buzaro quamber 
 
Kabhi ali ko na  mauqua diya shekaayet ka 
Dare rasool ke nauker hain buzaro quamber 
 
Ghulam hoke hukumat  Dillon pa kerte hain
Amal me shaahon ke afser hain buzaro quamber 
 
Amal me zohd me taqwa me aur ebaadat me
Her ek jehat se baraber hain buzaro quamber 
 
Nabi ke pas sate hain jo beamal unse
Her ek lehaaz se behter hain
buzaro quamber 
 
Labon pa unke qaseeda Ali ka rahta hai
Orooj aise sokhanwer hain buzaro quamber 
Janab Orooj Gopalpuri sahab
 




Navshad Bijani
Gulaame saakiye kausar hain buzaro qambar.
Har ek mahaaz pe behtar hai buzaro qambae.
 
Khuda ke deen ka lashkar hai buzaro qambar.
Kakeefa vaalo'n pe nashtar hai buzaro qambar.
 
Hai past rustamo daara bhi saamne inke.
Ali ke ayse delaawar hai buzaro qmbar.
 
Ghadeere khum me gire the jo sar pe haaris ke.
Azaabe rab ke woh patthar hai buzaro qambar.
 
Piya hai usme se Navshaad ne bhi ik qatra.
Woh maarfat ke samandar hai buzaro qambar.
Navshad Bijani

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Abuzar aur qambar ( By Maddahe aale aba in Mushyera )

06/01/2019

Har ik lehaaz se behter hai buzaro qambar
VIEW WRITE UP