Ghame husain bina har khushi ko tarsoge
Naushad Bijani
Hayaat hote bhi paaindagi ko tarsoge.
Ghame husain bina har khushi ko tarsoge
Ghame husain me rokar namaaz chhori to.
Duaa e hazrate binte nabi ko tarsoge
Jo moda ismate aale nabi se muh tumne.
To zindagi me sada shustagi to tarsoge
Khalifa maan ke aale nabi ke dushnam ko.
Hamesha qurbe vasi e nabi ko tarsoge
Kabhi bhi daamane marjaa' na chhorna warna.
Imaame waqt ki tum naukari ko tarsoge.
Ali ko maanlo maula jahaan ka warna.
Sakeefa vaalo sada rahbari ko tarsoge.
Kaha nabi ne ke mai mard ko alam dunga.
Bhagode tum sabhi mardaangi ko tarsoge
Jo maango waasta dekar sakeena bibi ka.
To tum kabhi na ataae jari (a.s.) ko tarsoge
Aza ka farsh bichhaaya nahi jo ghar me to.
Nabi ki beti ki tum haazri ko tarsoge
Karega waar tabassum ka tum pe jab asghar.
To maare sharm ke tum khudkashi ko tarso ge.
Dare husain pe raahib ki misl aajaao.
Ay abtaro na pisar ki kami ko tarsoge.
Ghadeere khum ki haqeeqat ko gar nahi maana.
Wila ki jaam ki tum maykashi ko tarsoge.
Kami rakhi hai agar ehterame zahra me.
Dare rasool ki vabastgi ko tarsoge.
ButoN ko todne daushe nabi pe haidar hai.
Agar na dekha to manzarkashi ko tarsoge.
Shadad se sheeriN lage maut, ayse kaam karo.
Kaza ke waqt ye aamaadgi ko tarsoge.
Khareedi marziye rab deke nafs sote huve.
Tum aysi jaag ke saudagiri ko tarsoge.
Na aaye baaz gunaaho se tum agar Naushad.
Ali ki qabr me maujoodagi ko tarsoge.
Naushad Bijani
+46 704 852 187
Ghame husain bina har khushi ko tarsoge
Gauhar Naqvi
Har ayk muqam pe zinda dili ko tarsoge
Gham,e hussain bina har khushi ko tarsoge
Bhale hi chand sitaro me ghar bana lena
Ali baghar magar raushni ko tarsoge
Kaha hussain ne ajao aye abeeb mere
Hamare baad bada dosti ko taroge
Heyaat hai abhi jannat to door mat karna
Agar na hogi to maa ki kami ko tarsoge
Aagar jo jaan lo kya martaba hai matam ka
Alam jaha se gaya us gali ko tarsoge
Ghame hussain na hoga to ye bhi dawa hai
Agarce eid bhi hogi khushi ko tarsoge
Zara batao kya tum bhi minafiqo ki tarha
Bangi jaan pe kya tab ali ko tasoge
Har ayk takht ki auqaat bhool jaoge
Ali ne di hai jo angushtari ko tarsoge
Agar yaqeen na aye to karbala kao
Watan ko aake bhi har ayk gali ko tarsoge
Agar na aap ko awwal ki marfat hogi
Imam jaan lo tum.aakhri ko tarsoge
Azaan kat de akbar ki ta keyamat tak
Yazeed walo tum aisi churi ko tarsoge
Wo waqt agaya guhar ye hi zamana hai
Vafa karega jo us aadmi ko tarsoge
Gauhar Naqvi
+91 92287 43921