Jo ghadeere khum me tashna reh gaya

( By Naushad Bijani

in MaddaeAaleAba )
  • Name:
  • Section:
    MaddaeAaleAba
  • Number of pages:
  • Date Added:
    10/02/2020
Jo ghadeere khum me tashna reh gaya

Bughz jis dil me ali ka reh gaya.
Thokare ta hashr khaata reh gaya.
 
Marke woh pyaasa rahega ta abad.
Jo ghadeere khum me tashna reh gaya.
 
Ho gaya khanjar sitamgar ka fana.
Dehr me sarwar ka sajda reh gaya.
 
Jal gaye sarwar ke khayme haN magar.
Deen me uska ujaala reh gaya.
 
Chayn se bistar pe haidar so gaye.
Ghaar me ik bud'ha rota reh gaya.
 
Daar par bhi hoga zikre murtaza.
Dehr me meesam ka daava reh gaya.
 
Dekhiye sarwar ke sajde ka waqaar.
Hashr tak aalam pe karza reh gaya.
 
Hurmala ka chal gaya teere sitam.
Ha magar besheer hasta reh gaya.
 
Dhal gaya aashoor ka sooraj magar.
Jaun ke rukh ka ujaala reh gaya.
 
Ho gaye sab taalibe bay'at fana.
Zainabe kubra ka khutba reh gaya.
 
Kha gai har ayk zaalim ko kaza.
Faatema ka laal zinda reh gaya.
 
Khaatma har dushmane deeN ka huva.
Karbala vaaloN ka charcha reh gaya.
 
Hat gaye darya se pahere zulm ke.
Saaniye haydar ka qabza reh gaya.
 
Laakh koshish ki mitane ki magar.
Be (ب) ke neeche fir bhi nuqta reh gaya.
 
Aahni akbar ka seena dekhiye.
Qalb se takrake neza reh gaya.
 
Ho gai dunya ki har daulat fana.
Hasr me ashkoN ka sikka reh reh gaya.
 
Bughze haidar me munafiq dekh le.
Ban ke har sajda tamaasha reh gaya.
 
Thi hasi asghar ki jayse hashr tak.
Dasht me ik phool taaza reh gaya.
 
Maari thokar jab ali ne paauN se.
Murda bhi tab ho ke zinda reh gaya.
 
Ki wafa abbas ne is shaan se.
Hashr tak pyaaso ka charcha reh gaya.
 
Sajde se uthta nahi naana ka sar.
Pusht par aakar nawaasa reh gaya.
 
Kuchh na tha tosha magar roomaal me.
Apne ashkoN ka khazaana reh gaya.
 
Aabo daana sadqa hai sesheer ka.
Kya hamara kya tumhaara reh gaya?
 
Jisko aayat me nahi dikhte ali.
Padke woh quraan andha reh gaya.
 
Zarra zarra kehkeshaN ban kar khila.
Sheh ka jhaN naqshe kafe pa reh gaya.
 
Do jahaN se mit gaya naame yazeed.
Ho ke sarwar ka zamaana reh gaya.
 
Bhaage hai maydaN se buzdil is tarah.
Dekhta raftaar ghoda reh gaya
 
Deen hai jisne *Hurayra* se liya.
Pyaaz woh makka ki khaata reh gaya
 
Maangta rehta tu sabse bheek shaykh 
Shukr kar maale khadeeja reh gaya.
 
Na-khuda Naushad  jiska hai ali.
Paar ho ke woh safeena reh gaya.

Naushad Bijani
+46 704 852 187

Video

Latest Write Ups

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી ( By નૌશાદ બિજાની in )

30/09/2022

લહેરાય છે હુસૈન નો પરચમ હજી સુધી
VIEW WRITE UP

અમને મળી નસીબમા નેઅમત ગમે હુસૈન ( By 1. સાદિકઅલી રેવાસીયા 2. નૌશાદ બિજાની 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા in )

23/09/2022

નેઅમત ગમે હુસૈન
VIEW WRITE UP

લુટાવ્યું છે ભર્યું ઘરબાર દીને મુસ્તુફા માટે ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. સાદિક રેવસિયા 3. આબિદઅલી નાંદોલીયા મેતા 4. અહમદઅબ્બાસ ઈમદાદઅલી ભોવણીયા સુરપુર in )

21/09/2022

ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Pehnaae kaise Aabid, Tujhko kafan Sakeena ( By 1. Naushad Bijani 2. Asmee Kanodari 3. Urooj Gopalpuri 4. Paikar Jalalpuri 5. Bober Nawab 6. Ashfaq kalkatvi in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

સકીના આપના ગમમાં બહુ બેઝાર છે બાબા. ( By નવશાદ બિજાની in )

14/09/2022

Shahadat Bibi Sakeena a.s.
VIEW WRITE UP

હશ્ર તક એહસાન માને કરબલા સજજાદ નો. ( By 1. નૌશાદ બિજાની 2. મોહસિન મોમીન અમદાવાદ. 3. સાદિકઅલી રેવાસીયા in )

07/09/2022

Misra by Safdar kharodiya
VIEW WRITE UP

બિંતે ઝેહરા છે ખૂલે સર શામ ના બાઝાર માં. ( By 1. અહેમદ અબ્બાસ (ગણેશપુરા) 2. નવશાદ બિજાની 3. આબિદ અલી એચ મરેડીયા in )

06/09/2022

શામ ના બાઝાર માં.-​ફઝલે આલે અબા
VIEW WRITE UP

Jo ghadeere khum me tashna reh gaya ( By Naushad Bijani in MaddaeAaleAba )

10/02/2020

Jo ghadeere khum me tashna reh gaya
VIEW WRITE UP