Ab tere havaale hai sakeena meri zainab.
Sheh bole use rone na dena meri zainab
Tum sab ko mere baad bahan dena dilaasa.
Ab tere havaale mera kunba meri zainab
Tu nehr ki jaanib na qadam apne badana.
Tadpega ghazanfar ka janaza meri zainab
Har haal me zaalim se sakeena ko bachaana.
Maare na use koi tamaacha meri zainab
Sheh bole ke akbar ko mai ab dhudunga kayse.
Aankho me to chhaaya hai andhera meri zainab
Ghabraana nahi zulmo sitam se meri khwaahar.
Ghar shaam me dena pade khutba meri zainab
Abbas to ab shaame ghareebaN me na honge.
Ghaazi ki tarah dena tu pahera meri zainab.
Tu shaame ghareebaN me kabhi hogi na tanha.
Aayenge najaf se yahaN baaba meri zainab.
Naushad yeh sheh keh ke chale jaanibe maqtal.
Khayme ka gira dena tu parda meri zainab