Naushad Bijani
Karbala jaate hain sarwar chhor kar apna watan.
Saath nikle hai bahattar chhor kar apna watan.
Haath me parcham nabi ke deen ka thaame huve.
Aaj jaate hai ghazanfar choor ka apna watan.
Rote rote ja rahi hai kafele ke saath saath.
Qabr se binte payambar choor ka apna watan.
Deen naana ka bachaane ke liye karbobala.
Jaate hain sibte payambar chhor kar apna watan.
Qabre zehra ki taraf mod mod ke kehte the husain.
Aleida jaata hu maadar chhor kar apna watan.
Tere saahil par alam ko gaadne ay alqama.
Aa gaye hain ab ghazanfar chhor kar apna watan.
Sar kataane ke liye nikle madeene se hisain.
Deen pe karne fida ghar chhor kar apna watan.
Karbala "Navshad" jisko bhi bulaate hain husain.
Jaate hai woh unke dar par chhor kar apna watan.
Naushad Bijani
+46 704 852 187